Qari Waheed Zafar Qasmi - Zahe Muqaddar Huzoor-e-Haq Se Lyrics

Lyrics Zahe Muqaddar Huzoor-e-Haq Se - Qari Waheed Zafar Qasmi



Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya Jhukao nazrein bichao palkain adab ka aala maqam aaya.
Yeh kon sar say kafan lapatay, chala hai ulfat kay rastay par Farishtay hairat say tak rahe hain yeh kon zy ehteram aaya.
Faza main labbaik ki sadain, zah farishta aarsh goonjti hain Har aik qurban ho raha hai, zaban pay yeh kis ka naam aaya.
Yeh rah e haq hai!
Sambhal kay chalna!
Yahan hai manzil qadam qadam par Pohanchna dar par, to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.
Yeh kehna aaqa bohat say aashiq taraptay say chor aaya houn main Bulaway kay muntazir hain lekin, na subho aaya na shaam aaya.
Dua jo nikli thi dil say aakhir, palat kay maqbool ho kay aayi Woh jazba jis main tarap thi sachi, woh jazba aakhir ko kaam aaya.
Khuda tera hafiz o nigehban, Oh rah e bat'ha kay janay wale Nabi de sad inbisat ban kar, payam darood o salaam aaya.
Zahay muqadar huzur e haq se salaam aaya payam aaya Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.



Writer(s): Qari Waheed Zafar Qasmi


Qari Waheed Zafar Qasmi - Gulzar-e-Madine
Album Gulzar-e-Madine
date of release
15-01-2008




Attention! Feel free to leave feedback.