Ravindra Jain - Jate Huye Ye Pal Chhin Kyon Lyrics

Lyrics Jate Huye Ye Pal Chhin Kyon - Ravindra Jain



Jaathe hue ye palchhin kyun jeevan liye jaathe?
Jaathe hue ye palchhin kyun jeevan liye jaathe?
Jode, yahi jode, yahi tode saba naate
Jaathe hue ye palchhin kyun jeevan liye jaathe?
Man jitna jeenaa chaahe, tan utana hee martaa jae
Insaan kee himaaqat dekho ummid hee karthaa jae
Koyi raah manzil kee kaheen sujhe to batalaaye
Jaathe hue ye palchhin kyun jeevan liye jaathe?
Rang aur sugandh ka jaadoo sadiyon se chalta aayaa
Insaan inhen mein duba, naadaan yahi bharamaaya
Ab kaun ye soche, kya khoyaa aur kya paayaa
Jaathe hue ye palchhin kyun jeevan liye jaathe?
Vishwaas mein vaas hai vish ka, aashaa mein chhupee hai niraashaa
Shabdon ke sang naa bahna, hai chal se bhari har bhashaa
Insaan ka dil bhee pathar sa jae taraasha
Jaathe hue ye palchhin kyun jeevan liye jaathe?
Jode, yahi jode, yahi tode saba naate
Jaathe hue ye palchhin kyun jeevan liye jaathe?
Kyun jeevan liye jaathe?
Kyun jeevan liye jaathe?



Writer(s): Ravindra Jain


Ravindra Jain - Ankhiyon Ke Jharokhon Se Nadiya Ke Paar
Album Ankhiyon Ke Jharokhon Se Nadiya Ke Paar
date of release
30-09-2005




Attention! Feel free to leave feedback.