Sabri Brothers - Aftab-E-Risalat Madine Mein Hai, Pt. 2 Lyrics

Lyrics Aftab-E-Risalat Madine Mein Hai, Pt. 2 - Sabri Brothers



Dehli to dulhan bani dulha Nizamudddin
Saare hind ke baadshaa khwaja Moinuddin
Sabz Gumbad ka manzar hai peshe e nazar
Yaad taiba kiaati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat
Mere khwaja ka dhola sa gumbad
Chandni main nahaaya hua hai
Saada saada sa roze ka manzar
Har nazar main samaya hua hai
Naam e Khwaja main aisi kashish hai
Ek zamane pe chaya hua hai
Bharli usne muraadon se jholi
Jispe daaman ka saya hua hai
Aap ki simt uthti hai jo bhi nazar
Aap ki simt uthti hai jo bhi nazar
Mudduaa apna paati hai Ajmer mein
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aap sultan e Hind Khwaja e khwajgan
Aap beshak hain sab ke liye meherban
Roz bante hein bigde muqaddar yahan
Chashma e faiz hai aapka aastan
Dar pe aayenge deewane jo sar ke bal
Dar pe aayenge deewane jo sar ke bal
Jab aqeedat bulati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Dar pe Ek baanj aaurat ne ki ilteja
Meri aulaad ho jaye to baa khuda
Khwaja bache ko chaukhat pe laungi main
Deg Ajmer aakar chadhaungi main
Rab se khwaja ne uske liye ki duaa
Hogaya uska poora jo yeh muddaaa
Leke bache ko aayi o Ajmer main
Haadsa uspe guzra ye kuch Der main
Sath uske saheli thi aayi hui
Jab chadhi Deg to paas thi o khadi
Gode main uske bacha tha hansta hua
Deg main o achanak uchalkar gira
Ro padi kehke o haaye bachaa meraaaa
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Saahab ji sultan ji tum bade gareeb nawaz
Apna karke rakhiyo sohaagan ki yeh laaj
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Shabbir o shabbar ke liye
Masoom asghar ke liye
Sajde main jo sar kat gaye the
Lillah us sar ke liye
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Muhammed par jo utra hai usi quraan ka sadqa
Ape peer o murshid khwaja e usman ka sadqa
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Mere chudiyon ki laaj piya rakhna
Mere chudiyon ki laaj piya rakhna
O kehne layi ab khud rakhna
O kehne layi ab khud rakhna
Mera bhaag suhaag tumai se hai
Mera bhaag suhaag tumai se hai
Main to tumhi pe sab luta baithi
Main to tumhi pe sab luta baithi mere khwaja
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Rakhnaa phir laaj dukhiya ki khwaja piya
Jo duaon se khwaja ke paida hua
Deg kaise jalati use phir bhala
Aanch uspar na aayi khuda ki kasam
Rakh liya mere khwaja ne uska bharam
Mere Khwaja ki adna karamat hai yeh
Mere Khwaja ki adna karamat hai yeh
Jo nazar roz aati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Chasm e rehmat se jis dam ishaara hua...
Doobti kashtiyon ko bhi kinara mila...
Aapne bekason ko sahara diya
Chasm e be noor ko bhi nazara diya
Bhooke pyason pe aisi nigah e karam...
Roz jaari hai langar khuda ki qasam
Kyun na mehke bhala faiz ka gulsitaan
Kyun na mehke bhala faiz ka gulsitaan
Khushbu taiba se aati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Madine Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main
Aaftab e risaalat Madine main hai
Aur kiran jhagmagati hai Ajmer main



Writer(s): Ajmeri Naseem, Iqbal Qureshi


Sabri Brothers - Sultan-E-Hind (Original Motion Picture Soundtrack)




Attention! Feel free to leave feedback.