Sahir - Waqt Lyrics

Lyrics Waqt - Sahir



Mei jee raha ye zindagi
Ek smartphone ki duniya mei band abhi
Andhere mei badti jaa rahi andekhi ye gadagi
Anjaan na koi ehsaas
Par soche tabhi hum sahi
Par nahi
Social media designer magizines ne banaya
Sari ladkiyo ko glamour queen
Gori hoone ke zid mei lagate hazaro cream
Kya hai khubsurat bataye ab ek tv screen
Meri ye generation clueless
Baate kare useless
All about the coolness
Social media se influenced
Log aadhe jali
Dimaag hai adhe khali
Snapchat ki duniya mei chalti inki yaari
Jabtak tujhko mujhse kaam tab tak
Tu hai mera yaar
Aur fir jab tere hoga kaam tabtak mei faraar
Haa aisa hai ye game dost
You wither be the one playing or the one whos played oo
Ye kare club hopping
Drugs often
Monday jaldi uthke office
Aisa hai ye chakkar
Daftar ke thakkar
Thak ke aur pakkar
Tootke sabbar kar
Paiso ke aadd ne
Paiso ke maar ne humpar
Dala boojh aisa ki hum bane gulam hai
Paisa kama paisa udana hai bass kaam haa
Yaha har insaan ka ab ek daam hai
Kaisa bangaya ye maya jaal haa
Mujhe bass jaana
Kaha gaya woh pyaar
Haa mere yaar
Sabko banna ab star
Aur ab bangaye bimaar haa lo
Kisi ko na badalna waqt ye saare badle
Waqt ke saath par mei jeeta mere sapne aaj
Kal kisne dekha toh kal ki na socho
Kabhi na aata bass bulaata
Kabhi rulata warna saatata
Kya ho faydaa
Kya hoga ghaata
Kya pata par yahi toh hai maza
Agar na shamjhe toh ek saza
Toh shamaj shamaj se shamaj ko shamjho
Kyuki is shamaj ko shamaj liya toh
Woh ek badi seekh hai
Uppar wale ke saamne kya ameer gareeb hai
Bato itna pyaar ki marte waqt kandha dene ke liye bheed reh
Jaan apne aap ko jaa lead mei
Asmaan cheerte speed mei
Na bhool jana apne logo ko lena saath
Apni takdeer apne haatho mei lekar dekh aaj
Kaha gaya woh pyaar
Haa mere yaar
Sabko banna ab star
Aur ab bangaye bimaar haa lo
Kisi ko na badalna waqt ye saare badle
Waqt ke saath par mei jeeta mere sapne aaj



Writer(s): Collective Beats


Sahir - Waqt
Album Waqt
date of release
13-01-2020

1 Waqt



Attention! Feel free to leave feedback.