Lyrics Yeh Kahan Aa Gaye Hum - Lata Mangeshkar , Amitabh Bachchan
Main
or
meri
tanhaai
aksar
ye
baatein
karte
hain
Tum
hoti
toh
kaisa
hota,
tum
ye
kehti,
tum
wo
kehti
Tum
is
baat
pe
hairaan
hoti,
tum
us
baat
pe
kitni
hasti
Tum
hoti
toh
aisa
hota,
tum
hoti
toh
waisa
hota
Main
aur
meri
tanhaai
aksar
ye
baatein
karte
hain
Ye
kahan
aa
gaye
hum
Yun
hi
saath-saath
chalte
Teri
baanhon
mein
hai,
jaanam,
mere
jism-o-jaan
pighalte
Teri
baanhon
mein
hai,
jaanam,
mere
jism-o-jaan
pighalte
Ye
kahan
aa
gaye
hum
Yun
hi
saath-saath
chalte
Ye
raat
hai,
ye
tumhaari
zulfein
khuli
hui
hain
Hai
chandni
ya
tumhaari
nazaron
se
meri
raate
dhuli
hui
hain?
Ye
chaand
hai
yeh
tumhaara
kangan?
Sitaare
hain
ye
tumhaara
aanchal
Hawa
ka
jhonka
hai
ye
tumhaare
badan
ki
khushbu
Ye
pattiyon
ki
hai
sarsarahat
ki
tumne
chupke
se
kuchh
kaha
hai
Ye
sochta
hoon
main
kab
se
gumsum
Ki
jabki
mujhko
bhi
ye
khabar
hai
ki
tum
nahi
ho,
kahin
nahi
ho
Magar
ye
dil
hai
ki
keh
raha
hai
ki
"Tum
yaheen
ho,
yaheen
kahin
ho"
Oh,
tu
badan
hai,
main
hoon
chhaaya
Tu
naa
ho
to
main
kahan
hoon
Mujhe
pyaar
karne
waale
Tu
jahaan
hai,
main
wahan
hoon
Humein
milana
hi
tha,
humdum
Kisi
raah
bhi
nikalte
Ho,
humein
milana
hi
tha,
humdum
Kisi
raah
bhi
nikalte
Ye
kahan
aa
gaye
hum
Yun
hi
saath-saath
chalte
Hmm,
meri
saans-saans
mehke
koi
bheena-bheena
chandan
Tera
pyaar
chandni
hai,
mera
dil
hai
jaise
aangan
Hui
or
bhi
mulaayam
meri
shaam
dhalte-dhalte
Oh,
hui
or
bhi
mulaayam
meri
shaam
dhalte-dhalte
Ye
kahan
aa
gaye
hum
Yun
hi
saath-saath
chalte
Majaboor
ye
halaat
idhar
bhi
hai,
udhar
bhi
Tanhaai
ki
ek
raat
idhar
bhi
hai,
udhar
bhi
Kehne
ko
bohot
kuchh
hai
magar
kisse
kahein
hum?
Kab
tak
yun
hi
khaamosh
rahein
aur
sahein
hum?
Dil
kehta
hai,
"Duniya
ki
har
ek
rasm
utha
dein
Deewaar
jo
hum
dono
main
hai,
aaaj
gira
dein"
Kyun
dil
mein
sulagte
rahein,
logon
ko
bata
dein
Haan,
humko
muhabbat
hai,
mohabbat
hai,
mohabbat
Ab
dil
main
yahi
baat
idhar
bhi
hai,
udhar
bhi
Ye
kahan
aa
gaye
hum
Yun
hi
saath-saath
chalte
Ye
kahan
aa
gaye
hum
Ye
kahan
aa
gaye
hum
1 Silsila Theme, Pt. 1 - Instrumental
2 Silsila Theme, Pt. 2 - Instrumental
3 Silsila Theme, Pt. 3 - Instrumental
4 Neela Aasman So Gaya - Male Vocals
5 Dekha Ek Khwab (with Dialogues)
6 Yeh Kahan Aa Gaye Hum (with Dialogues)
7 Ladki Hai Ya Shola
8 Neela Aasman So Gaya - Female Vocals
9 Dekha Ek Khwab, Pt. 1
10 Yeh Kahan Aa Gaye Hum
11 Rang Barse Bheege Chunarwali
12 Yeh Kahan Aa Gaye Hum
13 Dekha Ek Khwab, Pt. 2
14 Sar Se Sarke
15 Jo Tum Todho Piya
16 Khud Se Jo Vada Kiya Tha
Attention! Feel free to leave feedback.