Ustad Ahmed Hussain feat. Ustad Mohammed Hussain - Dost Hairan Na Ho Lyrics

Lyrics Dost Hairan Na Ho - Ustad Ahmed Hussain feat. Ustad Mohammed Hussain



Dost hairaan na ho, Zindagi me to ye hota hi raha hai aksar.
Dost hairaan na ho...
Jisko chacha tha tera ho na saka to kya gam.
Apni naqaam muhabbat pe pashemaan na ho.
Jo maza ishq ka khoney me hai paane me nahi.
Tum jo thukraye gaye ho to pasheman na ho.
Ek rangeen si duniya ke mehekte huy khawaab.
Tumne dekhe they tarashey they muhabbat me kabhi.
Aaj sab talkh haqeeqat me kahin doob gaye.
Kyunki har daur me is khail ka anjaam yahi.
Chand lamhon ke liye hota hai gam ka aehsaas.
Aisa lagta hai ki jo rishtey they sab toot gaye.
Zindagi me ye zeher roz kai peetey hain.
Waqt ke saath kai log they jo chooth gaye.
Kis ne paayi hai bhala dard-e-gham-e-dil se najaat.
Sabr ka jaam to peena hi padega aye dost.
Muskuratey huy har zakhm ko sehna hoga.
Tumko har haal me jeena hi padega aye dost.
#Sang By Ustab Ahmad Hussain Muhammad Hussain



Writer(s): jayant aryan, vishuraj, roshan wadhera


Ustad Ahmed Hussain feat. Ustad Mohammed Hussain - Zindagi - The Life
Album Zindagi - The Life
date of release
12-05-2008




Attention! Feel free to leave feedback.