Junaid Jamshed - Ye Subhe Madina paroles de chanson

paroles de chanson Ye Subhe Madina - Junaid Jamshed



Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina
Madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina
Mubarak tujhe ho ae arz-e-madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina
Tere paas jab sayyad-e-do jahan hain
Na kyun rashk-e-aflak ho phir madina
Madina madina madina madina
Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina
Madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina
Tere sabz gumbad pe 'alam fida hai
Falak jaise choome zameen-e-madina
Tera zarrah zarrah nishan-e-Nabi (saw) hai
Fida tujh pe main khak shahr-e-madina
Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina
Madina madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina
Ohad ke ye daman me khoon-e-shaheedan
Sabaq de raha hai wafa-e-madina
Nishani hai islam ki 'azmaton ki
Sahaba (ra) ke qadmon se khak-e-madina
Wafadariyon par sahab ki akhtar
Hai tareekh roshan ye shahr-e-madina
Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ae arz-e-madina




Junaid Jamshed - Naat Collection
Album Naat Collection
date de sortie
21-10-2014




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.