Munni Begum - Aakhri Waqt Hai paroles de chanson

paroles de chanson Aakhri Waqt Hai - Munni Begum



Aa bhi jaa raat dhalne waali hai.
Kiisi ghareeb ki mayyat nikalne waali hai.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Zindagi ki hai shaam aakhri aakhri.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Zindagi ki hai shaam aakhri aakhri.
Sang dil aa bhi ja ab khuda ke liye.
Sang dil aa bhi ja ab khuda ke liye.
Lab pe hai tera naam aakhri aakhri.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Kuch toh aasaan hoga adam ka safar.
Unse kehna tumhei dhoondti hai nazar.
Kuch toh aasaan hoga adam ka safar.
Unse kehna tumhei dhoondti hai nazar.
Naam par tu khudara na ab deir kar.
Naam par tu khudara na ab deir kar.
Dede unko payaam aakhri aakhri.
Naam par tu khudara na ab deir kar.
Dede unko payaam aakhri aakhri.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Tauba karta houn kalse piyunga nahi.
Maikashi ke sahaare jiyunga nahi.
Tauba karta houn kalse piyunga nahi.
Maikashi ke sahaare jiyunga nahi.
Meri tauba se pehle magar saaqiya.
Meri tauba se pehle magar saaqiya.
Dede sirf ek jaam aakhri aakhri.
Meri tauba se pehle magar saaqiya.
Dede sirf ek jaam aakhri aakhri.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Mujhko yaaroun ne nehla ke kafna diya.
Do ghadi bhi na beeti ki dafna diya.
Mujhko yaaroun ne nehla ke kafna diya.
Do ghadi bhi na beeti ki dafna diya.
Kon karta hai ghum toot te hi ye dum.
Kon karta hai ghum toot te hi ye dum.
Kardiya intazaam aakhri aakhri.
Kon karta hai ghum toot te hi ye dum.
Kardiya intazaam aakhri aakhri.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Jeete ji kadr meri kisi ne na ki.
Zindagi bhi raza bewafa hogayi.
Jeete ji kadr meri kisi ne na ki.
Zindagi bhi raza bewafa hogayi.
Duniya waalo mubaarak ye duniya tumhei.
Duniya waalo mubaarak ye duniya tumhei.
Kar chale hum salaam aakhri aakhri.
Duniya waalo mubaarak ye duniya tumhei.
Kar chale hum salaam aakhri aakhri.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.
Zindagi ki hai shaam aakhri aakhri.
Sang dil aa bhi ja ab khuda ke liye.
Lab pe hai tera naam aakhri aakhri.
Aakhri waqt hai aakhri saans hai.



Writer(s): Munni Begum


Munni Begum - Best of Munni Begum (Bujhi Hui Shama Ka Dhuwan Hoon)




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.