Nusrat Fateh Ali Khan - Mere Saqi Yeh Tamasha paroles de chanson

paroles de chanson Mere Saqi Yeh Tamasha - Nusrat Fateh Ali Khan



Bhool Jaon Mein Zamane Ka Gila Ae Saqi
Haan Pila Aur Pila, Aur Pila Ae Saqi
Baandh Kuch Aissi Mohabbat Ki Hawa Ae Saqi
Phir Badal Jaye Zamane Ki Fiza Ae Saqi
Khanakte Jaam Ka Mauhtaj Mein Nahi Saqi
Teri Nigah Salamat Mujhe Kami Kya Hai
Mere Saqi Yeh Tamasha, Tere Maikhane Ka
Jhoom Kar Ayi Hai Padmast Ghata Ae Saqi
Iss Nakami Ka Na Reh Jaye Gila Ae Saqi
Jaam Par Jaam Diye Ja, Tere Maikhane Ki Khair
Saqi Teri Ho Khair, Tere Maikhane Ki Khair
Gila Nahi Jo Guraizaan Hain Chand Paimane
Teri Nigah Salamat Hazar Maikhane
Sari Mehfil Ko Nasha Ek Hi Paimane Ka
Ab Kissi Taur Se Qaboo Mein Nahi Aane Ka
Falak Daikhe Gi Tamasha Tere Deewane Ka
Baat Kehta Hai Kuch Aissi Ke Na Samjhe Koi
Ye Bi Ek Gaur Talab Rang Hai Deewane Ka
Chashm-e-Saqi Hai Udhar Aur Mera Dil Hai Idhar
Aaj Takrao Hai Paimane Se Paimane Ka
Baat Saagar Ki Chale Zikar Ho Paimane Ka
Wo Bahar Ayi Naseer Aur Wo Uthe Badal
Baat Saagar Ki Chale Ziker Ho Paimane Ka
Mere Saqi Yeh Tamasha, Tere Maikhane Ka



Writer(s): Farrukh Fateh Ali Khan


Nusrat Fateh Ali Khan - Nusrat's Urdu Collection, Vol. 2
Album Nusrat's Urdu Collection, Vol. 2
date de sortie
13-10-2012




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.