Nusrat Fateh Ali Khan - Tumhain Dillagi Bhool Jani Pare Gee paroles de chanson

paroles de chanson Tumhain Dillagi Bhool Jani Pare Gee - Nusrat Fateh Ali Khan



Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kissi se laga kar to dekho
Honton ke paas aye hansi, kya majaal hai
Dil ka muamla hai koi dillagi nahin
Zakhm pe zakhm kha ke ji
Apne lahoo ke ghont pi
Aah na kar labon ko si
Ishq hai dillagi nahin
Dil laga kar pata chaley ga tumhein
Aashiqui dillagi nahin hoti
Kuch khel nahin hai ishq ki laag
Paani na samajh ye aag hai aag
Khoon rulaye gi ye lagi dil ki
Khel samjho na dillagi dil ki
Yeh ishq nahin aasaan
Bas itna samajh leejay
Ik aag ka darya hai
Aur doob ke jaana hai
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kissi se laga kar to dekho
Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai
Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai
Magar ek baar aazma kar to dekho
Zamanay ko apna bana kar to dekha
Humein bhi tum apna bana kar to dekho
Khuda ke liya chor do ab yeh parda...
Rukh se naqab utha, ke bari der ho gayi
Mahol ko tilaawat-e-quraan kiye hoye
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai
Kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kya hai
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Jan-e-jan hum se uljhan nahin dekhi jaati
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Khuda ke liya chor do ab yeh parda
Keh hain aaj hum tum nahin ghair koi
Shab-e-wasl bhi hai hijaab iss kadar kyon
Zara rukh se aanchal uthaa kar to dekho
Jafaaein bohat kien buhat zulm dhaye
Kabhi ik nigah-e-karam iss taraf bhi
Humesha huay dekh kar mujh ko barham
Kissi din zara muskura kar to dekho
Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai Paas-e-wafaa tum se warna
Sataate ho din raat jiss tarha mujh ko
Kissi ghair ko yun sata kar to dekho
Agarche kissi baat par woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni si kar lo
Woh maanein na maanein yeh marzi hai unki
Magar un ko PURNAM bana kar to dekho
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho



Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Purnam Allah Abadi


Nusrat Fateh Ali Khan - Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
Album Best of Shahenshah-e-Qawwalan, Pt. 2, Vol. 112
date de sortie
16-01-2007




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.