RCR - Fam Anthem paroles de chanson

paroles de chanson Fam Anthem - RCR



Yeh gaana unke liye hai
Jinko main fan nahin
Apna parivar samajhta hoon
Shayad lafzon se mohabbat bayan na ho paaye
Phir bhi koshish kari hai
Kabool karna
Yahaan tak aana khuda kasam lage khwab sa
Tum sabke dilo mein banke baitha mai nawab sa
Sunke mujhe dilon ko milati hai thandak
Kora kaagaz bana ab mukammal kitaab sa
Kuch kisse mere se bataye hi na jaate hain
Kahe bhi na jaayein aur dabaaye bhi na jaate hain
Main nacheez kaise karoon unka shukriya
Jo din raat mere liye sajdon mein aansu bahate hain
Main na koi star
Main chhoto se chhota hoon
Dekh aapka pyar
Zaar zaar main bhi rota hoon
Nafrat karne wale kaise lage teri baddua
Har waqt inki duaaon mein main hota hoon
Kabhi bhi kisi ki baaton mein aake
Mera tum saath na chhodna
Pyaar ki pakki jo dori ko baandha hai
Kabhi tum usse na todna
Main na bacha ab chaayi mujhme prem ki khumari hai
Jism se lekar rooh ki hasti tumhari hai
Dil cheer ke fans ko mohabbat dikha dunga
Rap scene ka sabko mureed main banaa dunga
Aakhri vidaai jab hogi duniya se
Maa kasam mere gham mein sabko rula dunga
(Maa kasam mere gham mein sabko rula dunga)
Fan meri jaan mere liye mera poora jahan
Unh unh unh!
Koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchaan
Yeah yeah yeah!
Fan meri jaan mere liye mera poora jahan
Woo woo woo...
Koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchaan
Wo o. unh unh. yeah yeah
Wo o. unh unh. yeah yeah
Lelo khushiyan meri apne gham de jaao
Seene se laga ke mujhe choomo paas aao
Yeh gaana hai kya aapke pyaar ke aage
Hun mai mitne ko taiyar meri jaan hi le jaao
Jeetna chahta tha haar gaya to bhi fark nahi
Jahan tum na chalo saath chahiye aisi sadak nahi
Ghalti ho jaye koi to kar dena maaf
Tumhare roothne se battar yahan hoga koi nark nahi
Mere apne mujhe chhod de
Maa kasam koi gham nahin
Par jab tumne nazrein pheri
To samajh lena hum nahin
Kaise kahun lafzon mein kitna hi pyar hai
Fan nahin mere liye mera sansaar hai
Ghar mein banaa chuka sabke hi dilon mein
Khushnaseeb hoon mila aisa parivar hai
Dete raho gali
Mai bajata rahu taali
Mera pyar hai real
Tumhara hate hai jaali
Tum fool todo baag ke mujhe dukh nahi
Kyunki bana kisi ke dil ka iklauta mai maali
Chaahne wale pehle mere liye trophy baad
Mujhse zyada khushiyan mile tumhe karu fariyad
Main na rahun to mujhe bhool na jana
Mere rap rakhna amar mujhe karte rehna yaad
Woo!
Yeh to mohabbat hai aapki
Na yeh banda mahaan hai
Tum sab par jaan to kya
Saaton janam kurbaan hai
(Saaton janam kurbaan hai)
Fan meri jaan mere liye mera poora jahaan
Koi nahi jaanta tha inse hai bani pehchaan
Fan meri jaan mere liye mera pura jahaan
Koi nahi jaanta tha inse hai bani pehchaan
Wo...



Writer(s): Harsh Bidla, Kabeela Records


RCR - Fam Anthem
Album Fam Anthem
date de sortie
17-01-2020




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.