paroles de chanson Woh Dil Hi Kya - Shazia Manzoor
Woh dil hi kya tere milne ki
Jo dua na kare
Woh dil hi kya tere milne ki
Jo dua na kare
Main tujhko bhool ke
Zinda rahoon khuda na kare
Woh dil hi kya tere milne ki
Jo dua na kare
Rahega saath tera pyaar
Zindagi bankar
Rahega saath tera pyaar
Zindagi bankar
Yeh aur baat meri zindagi
Wafa na kare
Main tujhko bhool ke
Zinda rahoon khuda na kare
Woh dil hi kya tere milne ki
Jo dua na kare
Suna hain usko mohabbat
Duayen deti hai
Suna hain usko mohabbat
Duayen deti hai
Jo dil pe chot to khaaye
Magar gila na kare
Main tujhko bhool ke
Zinda rahoon khuda na kare
Woh dil hi kya tere milne ki
Jo dua na kare
Yeh thik hain nahin marta
Koi judai mein
Yeh thik hain nahin marta
Koi judai mein
Khuda kisi ko kisi se
Magar juda na kare
Main tujhko bhool ke
Zinda rahoon khuda na kare
Woh dil hi kya tere milne ki
Jo dua na kare.

Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.