Zakir Sudhmahadev feat. Re Styne & James Daniel - EK PAL paroles de chanson

paroles de chanson EK PAL - Zakir Sudhmahadev



Ek pal zindagi aur
Ek pal mout
Ek pal ki khushi aur
Phir wohi rog
Ek pal ki khamoshi
Phir wohi dosh
Ek pal sath
Phir jane ka khof
Ek taraf bandagi
Tu dikhe chaaron soo
Ek taraf zindagi
Ek taraf tu
Ek taraf hum wohi
Ek tarf bhool
Ek taraf gandgi
Ek taraf sukoon
Ehsas mit gya hai
Tu bik gya
Mein kya likh gya
Mein kya keh gya
Faqeeri mein dhal ke
Nilaam hue hum
Likhari jo thehre
Badnam hue hum
Likhari the gehre
Tab bhi raaz khul gye
Raaz khul gye
Toh hojaoge behre
Hum marte the jinpe
Woh nakli the chehre
Mohabbat thi andhi ya
Andhe the hum
Bharosa dilaya bane
Phande the hum
Laash uthani bane
Kandhe the kam
Haar gye aise jaise
Bande the hum
Aap pul banate ho
Mein ghul milata hun
Tum pair pakadte ho
Mein dil milata hun
Tum til milate hi
Mein jhil milata hun
Mein silsile banata hun
Tum waswasay banate ho
Tu dard hai dil ka
Tu meri dawa
Bawa nahi hota
Ab tujhse khafa
Mein hun piyar ki
Adaalat mein
Khud ka gawa
Maa bole beta
Toh hua tabah
Hai tandhi hawa ka
Pahadon pe sukoon
Shawty kare call
Par off mera phone
Mein likhta hun dil se
Sab karte qadar
Mein likhta hun rap
Usko lagti ghazal
Mein pahadi woh
Pahadon pe aayi nazar
Kya hai mujhme kami
Kya hai mujh mein kasar
Mein logon ke dil mein
Hun karta basar
Ab katun mein kese
Jo boyi fasal
Mujhe jeene nahi deti
Insan ki nasal
Maa bole beta bass
Kar tu hustle
Asli hiphop idhar
Aake tu dekh
Mera fuck janam din
Kabhi kata nahi cake
Meri Chita ko jala ke
Please aag mat sek
Idhar Zakir hai bhai mera
Baki sab fake
Ba ba baki sab fake
Baki sab fake
Lamhe jo beet gaye
Qeemati safar ke
Kese dalte vibe bhai
Thoda toh asar dekh
Nazron mein gire aur
Lagte ye bande nek
Lifestyle change ab
Bhai ki tu life dekh
Bhai mere nine lage
Raa aur Devine
Sudhmahadev sath
Kare hum rhyme
Bagal mein jo khada
Woh hai bhai Styne
Log puchhen haal
Kahein James bhai fine
Doda ki pahadiyan
Ye basti hain dilon mein
Fasle ye kam nahi
Fasle ye milon mein
Cheekhon mein mic pe
Pahadon ki unchayion se
Joint pass kar diya
Baith ke bhaiyon ne
Bhai bhai bhai
Sare yahan pe kaint
Kya kar raha bhai
Push kar raha apna rank
Call ki bhai ne
Laga mujhe prank
Dil toda bandi ne
Phone diya phenk
Raton ki yaadein
Un yaadon mein khaas lamhe
Likhun tere bare mein ya
Bharun jane kitne panne
Doda ki waadiyon se
Teri mein tareef karun
Bigad gaya lounda
Ab kitna mein shareef banun
Sheher se nahin
Banda pura mein pahadi
Dekh le nazare aage
Safar karein jaari
Call ayi mujhe laga
Ladki kunwari
Baith ja tu aage dekh
JK wali gaadi



Writer(s): Zakir Sudhmahadev


Zakir Sudhmahadev feat. Re Styne & James Daniel - Ek Pal
Album Ek Pal
date de sortie
05-02-2022




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.