Ghulam Ali - Faasle Aese Bhi Honge текст песни

Текст песни Faasle Aese Bhi Honge - Ghulam Ali



Faassle aise bhee honge,
Ye kabhi socha n thaa,
Faassle aise bhee honge,
Ye kabhi socha n thaa,
Saamne baitha tha mere,
Aur wo mera n thaa,
Faassle aise bhee honge,
Ye kabhi socha n thaa,
Saamne baitha tha mere,
Aur wo mera n thaa,
Faassle aise bhee honge,
Wo ke khushboo kee tarah,
Faila tha mere chaarsoo,
Wo ke khushboo kee tarah,
Faila tha mere chaarsoo,
Main use mahsoos kar sakta tha,
Chhoo sakta na tha,
Main use mahsoos kar sakta tha,
Chhoo sakta na tha,
Faassle aise bhee honge,
Ye kabhi socha n thaa,
Raat bhar pichhli hee aahat,
Kaan mein aati rahi,
Raat bhar pichhli hee aahat,
Kaan mein aati rahi,
Jhaank kar dekha gali mein,
Koi bhee aaya na thaa,
Jhaank kar dekha gali mein,
Koi bhee aaya na thaa,
Faassle aise bhee honge,
Ye kabhi socha n thaa,
Khud chada rakhe the tan par,
Ajanabiyat ke gilaaf,
Khud chada rakhe the tan par,
Ajanabiyat ke gilaaf,
Varna kab ik doosre ko,
Hamne pahchaana na tha,
Faassle aise bhee honge,
Ye kabhi socha n thaa,
Yaad karke aur bhee,
Taqleef hoti thee adeen,
Yaad karke aur bhee,
Taqleef hoti thee adeen,
Bhool jaane k siwa,
Ab koi bhee chaara na tha,
Bhool jaane k siwa,
Ab koi bhee chaara na tha,
Saamne baitha tha mere,
Aur wo mera n thaa,
Faassle aise bhee honge,
Ye kabhi socha n thaa,



Авторы: Ali Ghulam


Ghulam Ali - A Journey, Volume 2




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.