Ghulam Ali - Hangama Hai Kyun Barpa текст песни

Текст песни Hangama Hai Kyun Barpa - Ghulam Ali



Hañgāma hai kyuuñ barpā thoḌī jo hai
Daakā to nahīñ maarā chorī to nahīñ hai
Nā-tajraba-kārī se vaa.iz ye haiñ bāteñ
Is rañg ko kyā jaane pūchho to kabhī hai
Us mai se nahīñ matlab dil jis se hai begāna
Maqsūd hai us mai se dil meñ jo khiñchtī hai
Ai shauq vahī mai ai hosh zarā so
Mehmān-e-nazar is dam ek barq-e-tajallī hai
Vaañ dil meñ ki sadme do yaañ meñ ki sab sah lo
Un bhī ajab dil hai merā bhī ajab hai
Har zarra chamaktā hai anvār-e-ilāhī se
Har saañs ye kahtī hai ham haiñ to ḳhudā bhī hai
Sūraj meñ lage dhabbā fitrat ke karishme haiñ
But ham ko kaheñ kāfir allāh marzī hai
Ta.alīm shor aisā tahzīb ġhul itnā
Barakat jo nahīñ hotī niyyat ḳharābī hai
Sach kahte haiñ shaiḳh 'akbar' hai tā.at-e-haq lāzim
Haañ tark-e-mai-o-shāhid ye un buzurgī hai
Hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai
Daka to nahin mara chori to nahin ki hai
Na-tajraba-kari se waiz ki ye hain baaten
Is rang ko kya jaane puchho to kabhi pi
Us mai se nahin matlab dil jis se hai begana
Maqsud hai us mai se dil hi mein jo khinchti hai
Ai shauq wahi mai pi ai hosh zara so ja
Mehman-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai
Wan dil mein ki sadme do yan ji mein ki sab sah lo
Un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai
Har zarra chamakta hai anwar-e-ilahi se
Har sans ye kahti hai hum hain to KHuda bhi hai
Suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain
But hum ko kahen kafir allah ki marzi hai
Talim ka shor aisa tahzib ka ghul itna
Barakat jo nahin hoti niyyat ki KHarabi hai
Sach kahte hain shaiKH 'akbar' hai taat-e-haq lazim
Han tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai



Авторы: Ghulam Ali


Ghulam Ali - Ghulam Ali: Meri Pasand Vol 1
Альбом Ghulam Ali: Meri Pasand Vol 1
дата релиза
01-09-1993




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.