Jani Babu - Mohammed Ke Ghulamon Par текст песни

Текст песни Mohammed Ke Ghulamon Par - Jani Babu



Ghulam e mustafa haalaat se ghabra nahi sakta ||
Badalte waqt se momim toh dhoka kha nahi sakta
Ye hai kaul e nabi isko koi jhutla nahi sakta
Aur jawan jaenge sab Jannat me budha jaa nahi sakta
Muhammad ke ghulaamon par budhapa aa nahi sakta
Wo khud jal jaega jobhi charag e haq ko chedegaa
Na maana to gawai har waraq taareeq ki dege
Hai baatil doobta suraj jo dooba phir na ubharega
Magar tauheed ka suraj na dooba hai na doobega
Ujaloon par andhera fataha hargiz paa nahi sakata
Muhammad ke ghulaamon par budhapa aa nahi sakata
Adab inka hai laazim kyunke ye aale Muhammad hai
Jo dushman sayyadon ke hai, jahannam wale hai bad hai
Muhammad murtaza hasnain jinke jadde amjad hai
Koi dushman unhe neecha kabhi dikhla nahi sakata
Muhammad ke ghulaamon par budhapa aa nahi sakta
Hadees e Mustafa Allah ka farmaan baaki hai, hai baaki gumbad e khizarah haram ki shaan baaki hai
Mithee har cheez duniya ki Magar Quran baaki hai
Aur har ek momin ke seene me abhi imaan baaki hai, ye sacchae hai sacchae koi jhutala nahi sakata
Muhammad ke ghulaamon par budhapa aa nahi sakta
Muhammad aaye to Rab ki huzi pehchan aye jaani Muhammad se mila imaan aur Quraan aye jaani
Aya ashaane Muhammad se hai Rab ki shaan aye jaani Aur Qayam e haq hai Quraan ka hai ye farmaan aye jaani
Bina ishq e Nabi koi khuda ko paa nahi sakata
Muhammad ke ghulaamon par budhapa aa nahi sakata
Ye hai kaul e Nabi isko koi jhutala nahi sakata
Muhammad ke ghulaamon par budhapa aa nahi sakta




Jani Babu - Mohammad Ke Ghulamon Par Budhapa Aa Nahin Sakta
Альбом Mohammad Ke Ghulamon Par Budhapa Aa Nahin Sakta
дата релиза
01-01-1991




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.