Javed Ali feat. Anweshaa - Pyaar Hai текст песни

Текст песни Pyaar Hai - Javed Ali feat. Anwesha



Rom rom se tere nikal kar
Meri saanson ko jati hai chu kar
Bikharti hai hawaon main har disha
Khushbo nahi hai woh toh pyaar hai
Khushbo nahi hai woh toh pyaar hai
Baat chipi hai kitni baaton main
Badmashiyan bhari hai aankhon main
Matwala karta hai man ko mere
Nadaniyan nahi hai woh toh pyaar hai
Nadaniyan nahi hai woh toh pyaar hai
Pyaar hai, Pyaar hai
Nadiya ki dhaar hai
Hai bhawar majhdhar hai
Is par hai us par hai
Pyaar main hi us rab ka deedar hai
Pyaar main hi us rab ka deedar hai
Bachpan ke khel main hai
Jawani ke mel main hai
Dhalti umar main iski
Karamat dekh lo
Ungliyon ki is chuan main
Ankhiyon ke baagpan main
Dil ke kuch umadte jazbat dekh lo
Karamat kuch nahi jazbat kuch nahi
Pyaar hai
Pyaar hai, Pyaar hai
Mithi si phuar hai
Pholon ki bahar hai
Pyaar se hi sansar hai
Pyaar main hi us rab ka deedar hai
Kuch purai aadatein hai
Nayi si shararatein hai
Kuch haseen chahte hai
Yeh baat jaan lo
Yeh khuda ki bandagi hai
Bas yeh hi zindagi hai
Ismein shuru khatam hai
Din raat jaan lo
Naya hai kuch nahi purana kuch nahi
Pyaar hai
Pyaar hai, Pyaar hai
Jeet hai haar hai
Dheema hai raftaar hai
Hosh hai khumar hai
Pyaar main hi us rab ka deedar hai
Pyaar main hi us rab ka deedar hai



Авторы: Kalyan Sen Barat, Rakesh Kumar Tripathi


Javed Ali feat. Anweshaa - Panchlait (Original Motion Picture Soundtrack) - EP
Альбом Panchlait (Original Motion Picture Soundtrack) - EP
дата релиза
16-11-2017



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.