Kishore Kumar - Apni To Jaise Taise Dialogue текст песни

Текст песни Apni To Jaise Taise Dialogue - Kishore Kumar, Amitabh Bachchan




Aarey Bidu, apun kutte ki woh dum hai jo bawa baras nali mein daal ke rakkho
Nali teri ho jaayegi, apun seedha nahin hoyega
Tum sala kya apun ko seedha karega, haan?
Kyun, hai ki nahin?
Apna kya? Apna toh koi hai hi nahin
Na aage hai, na picchu hai
Na koi rone wala, na koi aansu bahane wala
Apni to jaise taise
Thodi aise ya waise
Apni to jaise taise, thodi aise ya waise kat jayegi
Aapka kya hoga, Janab-e-Ali?
Aapka kya hoga?
Apne aage na peechhe
Na koi upar-neeche
Apne aage na peechhe, na koi upar-neeche rone waala
Na koi rone waali, Janab-e-Ali
Aapka kya hoga, haan?
Aap bhi meri tarah insan ki aulad hain
Aap mooh maangi dua, hum ansuni fariyad hain
Aap bhi meri tarah insan ki aulad hain
Aap mooh maangi dua, hum ansuni fariyad hain
Woh jinhein sara zamana samjhe la-waris yahan
Aap jaise zalimon ke zulm ki ijaad hain
Gaali huzoor ki to
Lagti duaaon jaisi
Gaali huzoor ki to lagti duaaon jaisi
Hum dua bhi dein to lage hai gaali
Aapka kya hoga, Janab-e-Ali?
Aapka kya hoga?
Aapke maathe se chhalke jo paseena bhi kahin
Aasman hilne lage aur kaap utthe yeh zameen
Aapka to yeh paseena khoon se bhi kimati
Aur apne khoon ki kimat yahan kuchh bhi nahin
Apna to khoon paani
Jeena marna bemani
Apna to khoon paani, jeena marna bemani
Waqt ki har adaa hai apni dekhi-bhaali
Aapka kya hoga, Janab-e-Ali?
Aapka kya hoga, haan?
Apni to jaise taise, thodi aise ya waise
Apni to jaise taise, thodi aise ya waise kat jayegi
Aapka kya hoga, Janab-e-Ali?
Aapka kya hoga?
Apne aage na peechhe, na koi upar-neeche
Apne aage na peechhe, na koi upar-neeche rone waala
Na koi rone waali, Janab-e-Ali
Aapka kya hoga, haan?



Авторы: Anjaan, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah


Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.