Lata Mangeshkar feat. Shashi Kapoor & Zeenat Aman - Yashomati Maiya Se Bole (with Dialogues) текст песни

Текст песни Yashomati Maiya Se Bole (with Dialogues) - Lata Mangeshkar , Shashi Kapoor




Yashomati maiya se bole Nandlala
"Radha kyun gori, main kyun kaala?
Radha kyun gori, main kyun kaala?"
Waah, ye to kamaal ho gaya
Bilkul ye hi to main pucha karta tha
Acha, to maiya kya jawab deti thi?
Boli muskati maiya, "Sun, mere pyare"
Boli muskati maiya, "Sun, mere pyare
Gori-gori Radhika ke nain kajrare
Kaale naino wali ne, ho
Kaale naino wali ne aisa jaadu daala Issi liye kaala"
Yashomati maiya se bole Nandlala
"Radha kyun gori, main kyun kaala?
Radha kyun gori, main kyun kaala?"
Bilkul theek jawaab diya Yashoda maiya ne
Ab samajh mein aaya
Ke mujhpe bhi meri roopa ki kajari aankon ka hi rang chadh gaya hai
Chee, babu ji, kyun jhutha dosh dete hain mujhe?
Ismein jhuth kya hai? Jab dekho ghoorti rehti ho mujhe
Tum hi ne to jaadu daala hai mujhpe, aa
Itne mein Radha pyari aayi ithlati
Itne mein Radha pyari aayi ithlati
"Maine na jaadu daala," boli balkhati
Maiya, Kanhaiya tera, ho
Maiya, Kanhaiya tera jag se nirala issi liye kaala
Yashomati maiya se bole Nandlala
"Radha kyun gori, main kyun kaala?
Radha kyun gori, main kyun kaala?"



Авторы: Laxmikant Pyarelal, Sharma Pandit Narendra



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.
//}