Mohammed Rafi - Yeh Lucknow Ki Sar Zameen текст песни

Текст песни Yeh Lucknow Ki Sar Zameen - Mohammed Rafi



Ye lakhnau ki sar zami ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
Ye rang roop ka chaman
Ye husn-o-ishq ka vatan
Yahi to vo mukaam hai
Jaha avadh ki shaam
Hai jawa jawa hasi hasi
Ye lakhnau ki sar zami ye lakhnau ki sar zami
Shabaab-o-sher ka ye ghar
Ye ahal-e-ilm ka nagar
Hai manzilo ki god me
Yaha har ek rahguzar
Ye shahar laaldaar hai
Yaha dilo me pyar hai
Jidhar nazar uthaaiye
Bahaar hi bahaar hai
Kali kali hai naazani
Ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
Yaha ki sab ravaayate
Adab ki shaahakaar hai
Ameer ahl-e-dil yaha
Gareeb jaa nisaar hai
Har ek shaak par yaha
Hai bulbulo ki chah chahe
Gali gali me zindagi
Kadam kadam pe kah kahe
Har ik nazaara hai dilnashi ye
Lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki
Sar zami yaha ke dost bawafa,
Mohabbato se aashna
Kisike ho gaye agar
Rahe usike umr bhar
Nibhayi apni aan bhi,
Badhayi dil ki shaan bhi
Hai aisa meharbaan bhi
Kaho to de de jaan bhi
Jo dosti ka ho yakin
Ye lakhnau ki sar zami
Ye lakhnau ki sar zami
Ye lakhnau ki sar zami,
Ye lakhnau ki sar zami
Ye lakhnau ki sar zami



Авторы: Kevin Hyman, Justin Chapman


Mohammed Rafi - Chaudhvin Ka Chand (Original Motion Picture Soundtrack)
Альбом Chaudhvin Ka Chand (Original Motion Picture Soundtrack)
дата релиза
01-12-1960




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.