Munni Begum - Ek Baar Muskurado текст песни

Текст песни Ek Baar Muskurado - Munni Begum



Firdos jhoom uthi, Faza muskura uthi
Tum muskura utho to khuda muskura uthe
Ek baar muskura do (9)
Afsana-e-chaman ka, unwaan hi badal do
Phoolon ka sar kuchal do, kalyon ka dil masal do
Aakash ki jawani, baadal mein moon chupaye
Mahtaab doob jaye, taaron ko neend aaye
Zohra jabeen pari rukh, tamseel mah-o-anjum
Aankhein sharaab aahien, jazbaat mein talatum
Khilte huay laboon par hansta hua tarana
Ae dilnawaz paikar. khatir mein hai zamana
Lab haye ahmareen par nikhrii hui hai laali
Ye halki halki surkhi tasweer hai shafaq ki
Aawarah shoukh zulfain rukhsaar choomti hain
Rukhsaar choomti hain, bekhud hain ghoomti hain
Ho zeest ka sahara, tum moj main kinara
Lekin suno khudara
Ek baar muskura do(2)
Jhulmi
Ek baar muskura do(2)
Ek nojawaan musafir, fitrat ka la-ubaali
Ek aalam-e-junoon mein, ek samt ja raha tha
Jaise ke apni dhun mein parbat pe charh raha tha
Zulfain ke muntashir thein, chehre se muzmahil tha
Nazrain ke raah pe thein, itna shikasta dil tha
Mazi ki dhundlakon mein ek aks pa raha tha
Guzra hua zamana phir yaad aa raha tha
Armaan tarap rahy thay hasrat machal rahi thi
Betaab zindagani karwat badal rahi thi
Gin gin taare haye bechare
Chain na aaye jee ghabraye
Deikh to kia hai, kon basa hai
Deedah-e-tar main neechi nazar mein
Sheesha-e-dil mein aankh ke til mein
Dil ko jalana khail hai jana
Dil ko jala kar, aag laga kar
Khud bhi jalo gy, hath malo gy
Tum shama-e-firozaan ho, khud bhi jalo jala do lekin
Ek baar muskura do(2)
Jhulmi
Ek baar muskura do(2)
Tum jaan-e-mudda'a ho ek husn dilruba ho
Itna to mein kahoon ga, meri is ghazal ka
Rangeen qafiya ho
Ek bat tumse poochon, bolo jawaab do gy
Ye husn ye jawani sarkar kia karo gy
Honton ki muskurahat, becho khareed loon ga
Manzoor ho to bolo anmol daam doon ga
Ek baar muskura do(11)



Авторы: Munni Begum


Munni Begum - Ek Baar Muskurado Super
Альбом Ek Baar Muskurado Super
дата релиза
19-02-2007




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.