Nusrat Fateh Ali Khan - Aisa Banna Sanwarna текст песни

Текст песни Aisa Banna Sanwarna - Nusrat Fateh Ali Khan



Aisa Bun'na Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Aisa Bun'na Sawarna, Un Ka Bun'na Sawarna
Woh Kia Sawar Ga'ay Meri Qismat Sawar Gayi
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Woh Agar Bun Sawar Ga'ay Hoon Gay
Daikhnay Walay Mar Ga'ay Hoon Gay
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna
Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
Aaj Yeh Daikhein Gay Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
Aa'ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say
//Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna (Chants...)
Aisa Bun'na Sawarna Mubarak Tumhein, Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein, Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo
Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh (Roshan Jabeen)? Bhi, Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
Aa'ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kaheen, Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo
Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain Gay, Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain Gay
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay, Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
//Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
Tum Jiss Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Andaaz Apne Daikhte Hein Aa'ine Mein Woh
Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
Daikh Letay Hein Woh (Us)? Deeda Nazar Say
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-Kham Shuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
Jao (Rasta Lo)? Tumhara Kuch Nahi
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath
//Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat (Chants...)
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi
//Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi (Chants... Followed By Vocables)
Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja'ay Gi
Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa'ay Gi Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo
Kaam Aa'ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan, Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa, Ey Fana Is Jahan Say Kinara Karo
Aisa Banna Sanwarna Mubarak Tumhein Kam Se Kam Itna Kehna Hamara Karo...



Авторы: NUSRAT FATEH ALI KHAN, FARRUKH ALI KHAN


Nusrat Fateh Ali Khan - Together - 50 Bestsellers of Nusrat & Rahat
Альбом Together - 50 Bestsellers of Nusrat & Rahat
дата релиза
26-08-2013

1 Sochta Hoon Ke Woh Kitna
2 Rut Saawan Di
3 Saqiya Mian Akhya Si
4 Jinde Jinde
5 Kal Raat Tumhare Hothon Ki
6 Yaadan Vichrey Sajan Diyan
7 Mere Dil Ki Duniya Mein
8 Nazar Se Nazar Tum
9 Piya Rang Dena Chunri
10 Akhiyan Udeek Diyan
11 Dil Tutne Te Kambini
12 Khat Yeh Tumhara
13 Kinna Sohna Tainu
14 Maahi Janda Hoya
15 Maine Botal Se Karni Hai
16 Nit Khair Manga Soneya
17 Raaton Ko Chain Se Na
18 Sajna Main Ghama De
19 Sanu Ek Pal Chain Na
20 Ab Dekh Ke Jee Ghabrata Hai
21 Aisa Banna Sanwarna
22 Bahaar Ke Din Hain
23 Bandh Hua Sara Maikhana
24 Dil Jis Se Jinda Hai
25 Dil Pe Zakham Khate Hain
26 Dil Sulagta Raha
27 Doston Ki Shikayat
28 Ghameyaar Se Shikayat
29 Gale Lipte Hain Woh
30 Gham Hai Ya Khushi Hai Tu
31 Haqeeqat Ka Agar Afsana
32 Jaag Uthey Hain Dard
33 Kehna Ghalat Ghalat
34 Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka
35 Main Talkhiye Hayaat Se
36 Mera Intezaar Karna
37 Na Sawal Ban Ke
38 Nargisi Aankh Dorey Gulabi
39 Poocha Kisi Ne Haal Kisi Ka
40 Sadgi Toh Hamari
41 Sanson Ki Mala Pe
42 Shaam Savere Nain Bicha Ke
43 Tu Agar Benaqaab Ho Jaye
44 Tum ek gorakh dhandha ho
45 Un Ke Dar Pe Pahunchne
46 Woh Hata Rahe Hain Parda
47 Kaliyan Be Ke Buk Buk
48 Yaar Da Makaan
49 Sanu Rog Laun Waleya
50 Tera Buha Nahin Chadna




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.