Nusrat Fateh Ali Khan - Tum ek gorakh dhandha ho текст песни

Текст песни Tum ek gorakh dhandha ho - Nusrat Fateh Ali Khan




Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda,
Kabhi Wahaan Pohncha Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha
Ghareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye Laikin Kisi Talak Na Tera Aaj Tak
Nishaan Pohncha Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho Ho
Bhi Nahi Aur Her Ja Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai Hairaan Hai Magar
Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Tujhay
Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta Magar Tashreef
Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum Aur Phir Yeah Tamasha
Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jab Bajuz
Tairay Koi Dosra Maujood Nahi Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah
Karna Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan
Tera Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera Tum Ek Gorakh
Dhanda Ho Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai,
Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai Na But-Khanay,
Na Kabay Mein Mila Hai,
Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya
Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai Nahi Hai Tu To Phir Inkaar
Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon
Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai Nahi Aaya Khayaloon Mein
Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai Tum Ek Gorakh Dhanda
Ho Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho Haath Aao To But,
Haath Na Aao To Khuda Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Aqal Mein Jo Ghir
Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda
Kiyoon Ker Hoa Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Falsafi Ko Behas K Ander Khuda
Milta Nahi Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi Tum Ek Gorakh
Dhanda Ho Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna Ta'ajub
Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum,
Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum Dair O Haram K Jhagray
Mita'tay Nahi Ho Tum,
Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum Hairaan Hoon Mairay Dil Mein
Sama'ay Ho Kiss Tarah,
Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum Yeah Ma Bud O Haram,
Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon,
Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dil
Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai,
Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai Kuch Samajh Mein Nahi Aata K
Yeah Chakkar Kia Hai,
Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai Rooh Ko Jism K
Pingray Ka Bana Ker Qaidee,
Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai Day K Tadbeer K
Panchi Ko Uranay Tu Nai,
Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai Kar K Araish E Qounain
Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai
La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein,
Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai Yeah Burai, Wo Bhalai,
Yeah Jahannum, Wo Bahisht,
Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai Jurm Aadam Nai Kiya Aur
Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi'aar Bhi Kia Rakha Hai Dai K
Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni,
Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai Apni Pehchaan Ki Khaatir
Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho,
Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho Kabhi Kunker Ko Bana
Daitay Ho Heeray Ki Kani,
Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho Zindagi Kitnay He
Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai,
Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho Khuwahish-E-Deed Jo Kar
Baithay Sir-E-Tuur Koi,
Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho Nalay Namrood Mein
Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq,
Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho Chahay Kin Aan Mein
Phainko Kabhi Maah Kinaan,
Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs
K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay Ho Jazb O Masti
Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi,
Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho Khud He Lagwatay Ho
Phir Kufr K Fatway Us Per,
Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay Ho Apni Hasti Bhi Wo Ik
Rooz Gawa Baith'ta Hai,
Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho Koi Ranjha Jo Kabhi
Khooj Mein Nikle Teri,
Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay Ho Justujo Lay K Tumhari
Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho Jot?
Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay,
Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay Ho Sohni Gar Tum Ko
Mahiwaal Tassawur Ker Le,
Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay Ho Khudh Joh Chaho To
Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob,
Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Aap
Hi Apna Pardah Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Jo Kehta Hoon Mana Tumhein
Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa Chup
Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per,
Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka Nawasa Kiss Tarah Pilata Tha
Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa Dushmun
To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos,
Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa Her Zulm Ki Taufeeq Hai
Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na Dilasa Kal Taaj
Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per,
Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa Yeh Kia Hai Agar Pochon To
Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi Shanasa Tum Ek
Gorakh Dhanda Ho Hairat Ki Ik Dunya Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Har
Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom Tumahra Naam Suna Nai,
Nishaan Nahi Maloom Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dil Say Armaan Jo Nikal
Ja'ay To Jugnu Ho Ja'ay,
Aur Aankhon Mein Simat Aa'ay To Aanso Ho Ja'ay Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be
Hu Karay Hu Mein Kho Ker,
Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja'ay Baalgi Ka Na Kisi Ka
Ho Churi Ke Neechay,
Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja'ay Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi Daastan E Niyaaz Ho Tum Bhi Tum Ek
Gorakh Dhanda Ho Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon,
Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban Daikhoon Bana Ke Rah Jaata Hoon
Tasaveer Pareshaani Ki,
Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan Daikhoon Aik He Khaaq Pay
Fitrat Ke Tajaadaat Itne,
Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan Daikhoon Kahin Zahmat Ki Sulagti
Howi Patjhar Ka Sama,
Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan Daikhon Kahin Punkartay Darya,
Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra,
Kahin Gulshan Daikhoon Khoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay,
Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan Daikhoon Din Ke Haathon Mein
Faqat Ek Sulagta Suraj,
Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan Daikhon Kahin Murjha'ay Howe
Phool Hein Sach'chaii Ke,
Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban Daikhon Shams Ki Khaal
Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai,
Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan Daikhoon Raat Kia Shay Hai
Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia Hai Mein Bhi Naayib Hoon
Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya Hai Tum Ek Gorakh
Dhanda Ho Daikhnay Wala Tujhay Kia Dekhta Tu Nai Her Rung Say Pardah
Kia Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Masjid Mandir Yeh Mekhanay,
Koi Yeh Manay Koi Woh Manay Sub Tere Hein Jaana Kasahanay,
Koi Yeh Manay Koi Woh Manay Ik Honay Ka Tere Qaail Hai,
Inkaar Pay Koi Maail Hai Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai,
Ik Sub Say Akela Rehta Hai Hein Dono Tere Mastanay,
Koi Yeh Manay Koi Woh Manay Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke,
Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam Ke Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Dair
Mein Tu Haram Mein Tu,
Arsh Pe Tu Zameen Pe Tu Jiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah
Waheen Pe Tu Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Her Ik Rung Mein Yakta Ho Her Ik
Rung Mein Yakta Ho Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Markaz E Justuju,
Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar Su Hu K Mahool
Mein Kuch Nahi Illah Hu,
Tum Bohot Dilruba Tum Bohot Khoobaru Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro,
Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-Aarzo Aankh Nay Ker Lia Aanso'on Say Wazu,
Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu Aao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru,
Chund Lamhay Milan Do Ghari Guftagu Naaz Jabta
Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka Laho



Авторы: Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Niaz Khialvi


Nusrat Fateh Ali Khan - Nusrat's 50 Best of Urdu Sufi and Qawwali Hits
Альбом Nusrat's 50 Best of Urdu Sufi and Qawwali Hits
дата релиза
25-03-2014

1 Bewafa Se Bhi Pyar Hota Hai
2 Dil Pe Zakham Khaate Hain
3 Aisa Banana Sanwarna Mubarak Tumhein
4 Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi
5 Aag Daman Mein Lag Jayegi
6 Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai
7 Gham Hai Ya Khushi Hai Tu
8 Dil Sulagta Raha Chandni Raat Mein
9 Woh Hata Rahe Hain Parda
10 Aaj Koi Baat Ho Gayi
11 Dayareishq Mein
12 Mast Nazron Se Allah Bachaye
13 Haqeeqat Ka Agar Afsana Ban Jaye
14 Ab Dekh Ke Jee Ghabrata Hai
15 Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka
16 Saanson Ki Mala Pe Simrun Main
17 Hai Kahan Ka Irada Tumhara Sanam
18 Dil Jis Se Zinda Hai
19 Khanjar Hain Teri Aankhein
20 Shaam Savere Nain Bichha Ke
21 Band Hua Saara Maikhana
22 Doston Ki Shikayat
23 Jaag Uthe Hain Dard Purane
24 Ghameyaar Se Shikayat
25 Aarzooemohabbat Hai
26 Main Talkhiye Hayaat Se
27 Tu Agar Benaqaab Ho Jaaye
28 Bahaar Ke Din Hain
29 Maikada Bhi Apna Hai
30 Mere Saaqi Yeh Tamasha
31 Mulaqaat Ho Gayi
32 Saadgi to Hamari Zara Dekhiye
33 Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Darr Se
34 Poochha Kisi Ne Haal Kisi Ka
35 Pilao Saaqi
36 Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai
37 Mera Intezaar Karna
38 Raah Aasaan Ho Gayi Hogi
39 Na Sawaal Ban Ke Mila Karo
40 Mujhe Tum Yaad Aate Ho
41 Kehna Ghalat Ghalat
42 Nargisi Ankh Dorey Gulabi
43 Un Ke Dar Pe Pahunchne
44 Tum ek gorakh dhandha ho
45 Is Karam Ka Karun Shukar Kaise
46 Zehaale Miskeen Makun Taghaful
47 Eid-gahay mahay gareeba
48 Ya Haiyyo Ta Qayyum
49 Dum Mast Qalander Mast Mast
50 Allah Hoo




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.
//}