Nusrat Fateh Ali Khan - Bhuji Huwi Shama текст песни

Текст песни Bhuji Huwi Shama - Nusrat Fateh Ali Khan



Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon
Teri Hi Soorat K Daikhnay Ko, Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke, Tera Tasawwar Jama Raha Hoon
Kafan Mein Khudh Ko Chupa Dia Hai, Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat
Naqaab Apne Liyeah Bana Ker, Hijaab Tera Utha Raha Hoon
Udhar wo ghar se nikal pare hein, idhar mera dam nikal raha hai
Ilahi kaise hai yeh qayamat, woh aa rahe hein mein ja raha hoon
Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat, Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein, Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon
Zubaan Pay Labaik Her Nafas Mein, Jabeen Pay Sajda Hai Her Qadam Pay
Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik, Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon
Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon




Nusrat Fateh Ali Khan - Best of Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
Альбом Best of Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
дата релиза
06-04-2015




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.