Rahul Jain - Ek Ajnabee Haseena Se текст песни

Текст песни Ek Ajnabee Haseena Se - Rahul Jain




Vo achaanak aa gayi yoon nazar ke saamane
Jaise nikal aayaa ghata se chaand
Vo achaanak aa gayi yoon nazar ke saamane
Jaise nikal aayaa ghata se chaand
Chehare pe zulfen bikhri huee thim, din mein raat ho gayi
Ek ajanabi hasina se yoon mulaaqaat ho gayi
Jaan-e-man, jaan-a/e-jigar, hota main shaayar agar
Kehtha ghazal teri adaon par
Jaan-e-man, jaan-a/e-jigar, hota main shaayar agar
Kehtha ghazal teri adaon par
Maine ye kahaa to mujse khafa vo jaan-a/e-hayaat ho gayi
Ek ajanabi hasina se yoon mulaaqaat ho gayi
Kuubasurat baath ye, chaar pal ka saath ye
Saaree umr mujko rahegaa yaad
Kuubasurat baath ye, chaar pal ka saath ye
Saaree umr mujko rahegaa yaad
Main akela tha, magar ban gayi vo hamsafar, vo mere saath ho gayi
Ek ajanabi hasina se yoon mulaaqaat ho gayi
"phir kya hua?" ye naa pucho, kuch aisee baath ho gayi



Авторы: Anand Bakshi, R.d. Burman



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.
//}