Srinivas - Sara Jahen Se Acha текст песни

Текст песни Sara Jahen Se Acha - Srinivas



Sare jahan se accha hindostan hamara
Ham bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara
Ghurbat men hon agar ham, rahta hai dil vatan men
Samjho vahin hamen bhi,
Dil hain jahan hamaraParbat voh sab se uncha, hamsaya asman ka
Voh santari hamara, voh pasban hamara
Godi men khelti hain is ki hazaron nadiya
Gulshan hai jin ke dam se, rashkejanan hamara
Aye ab, raud, ganga, voh din hen yad tujhko
Utara tere kinare, jab karvan hamara
Maz'hab nahin sikhata apas men bayr rakhna
Hindvi hai ham, vatan hai hindostan hamara
Yunanomisroroma, sab mit. gaye jahan se
Ab tak magar hai baqi, namonishan hamara
Kuch bat hai keh hasti, mit.ati nahin hamari
Sadiyon raha hai dushman, daurezaman hamara
Iqbal ko'i meharam, apna nahin jahan men
M'alum kya kisi ko, dardenihan hamara...
END



Авторы: D Imman


Srinivas - Aanai
Альбом Aanai
дата релиза
02-12-2005




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.