Sunny Khan Durrani - Artist текст песни

Текст песни Artist - Sunny Khan Durrani




Arre kahan jaa rahe hain?
Kahan jaa rahe hain?
Aap baat to sunlein yar
Bolo kahan gaya artist?
Kahan teri batain?
Kahan tere log saaray?
Kahan hain iraaday?
Bolo kahan gaya artist?
Kahan teri batain?
Kahan tere log saaray?
Kahan hain iraaday?
Theek se chale hai Wi-Fi mera
Abhi ghora bhi chale hai aik do dhai mera
Abhi saath walon ko bhi me advice dera
Abhi pura din baje na mobile mera hayee
Bhook meri mitti
Na karo pity
Jhoot bole city
Abbay chup betho kitty
Tum to nahi the jab the bill ye adhoore
Karun losses calculate Uncle Asim mujhe ghoorain
Dekho mulk mera looto
Thullay ko pucho
Nalkay to kholo
Zara halkay to ho lo
Balkay aese na bolo
Inhe wese na bolo
Inke pese na tolo
Apnе case zara kholo
Bolo kahan gaya artist?
Kahan teri batain?
Kahan terе log saaray?
Kahan hain iraaday?
Bolo kahan gaya artist?
Kahan teri batain?
Kahan tere log saaray?
Kahan hain iraaday?
Kalakaari pe meri sawaal uth raha hai
Yahan mulk ka mere zawaal uth raha hai
Log aake kehte mujhe "Kya kamaal likh raha hai!"
Itne parday hain mujhpe tujhe kya hi dikh raha hai?
Abay jhootay
Mujhe lootay
Raaz phootay
Khaoge jootay?
Aray kese ho bhai?
Mene pheri hai tabaahi
Mene churyaan kalaai pe chalai
Par dawaai mujhe kaam nahi aai
Tabhi pheri hai tabaahi
Tabhi dil bhi khafaa hai
Tabhi seena bhi dukha hai
Dedun goli
Meri boli
Teri jholi
Gumi toli?
Bolo kahan gaya artist?
Kahan teri batain?
Kahan tere log saaray?
Kahan hain iraaday?
Bolo kahan gaya artist?
Kahan teri batain?
Kahan tere log saaray?
Kahan hain iraaday?
Bol na
Mujhe aaj bhi shaq hai mera naam rakho wehem
Meri kaali raat mere chaand pe hai grahan
Inhe kaho meri kalaa bas yehi to kul kamaai hai
Warna is shakhs ne har cheez hi gawaai
Mujhe wehem hai ke khushiyan ye bas thori dair ki
Wehem hai ke dardon ne zindagi ye ghair li
Wehem hai ke thak chuka har aik insaan
Mujhe wehem hai ke mere saath chal raha shaitaan
Aese lagay apni moat ko me paani deta
Yehi wehem mujhe khaaray aur me paalta rehta
Ilzaam apne maazi pe me daalta rehgya
Mere aane wale kal ka bhi dhundla chehra
Meri jaibon me sikkay the pichle doar ke
Tabhi ham is zamaane se door hi dorte
Dekh sab ki himaaqatain bas khoon hi kholte
Mere jaison ko phaansi ke phandon me tol dena
Bol dena bol dena mar gaya artist
Bol dena iski saari khokli thi batain
Hogya tha paagal kuch albums banaake
Aayega sakoon mera sab kuch jalaa ke
Ke mera aur kisi tarhan hona na kaffara
Ke mene har din kis dard me guzaara
Suna dun jo tujhe to ye dil tera phat jaye
To rokna na zulm jab tak banda hi na muk jaye



Авторы: Sunny Khan Durrani



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.
//}