Sunny Khan Durrani - Raqs e Aakhir текст песни

Текст песни Raqs e Aakhir - Sunny Khan Durrani




The quote goes
"How happy is the blameless vestal's lot?
The world forgetting by the world forgot
Eternal sunshine of the spotless mind!
Each prayer accepted
And each wish resigned"
Tuney phir koi khuwahish tori haina?
Tuney phir umeed chori haina?
Tere sab hi khwaab jhootey the na?
Tum bhi apno se hi luttay the na?
Bola bhi tha tumhe choro umeedain lagaana
Ke yahan pe tumhe lootne ko betha hai zamaana
Yahan kaafi dino se mere baant'ta koi rog nahi
Ye kamra hai bikhra kisi cheez ka dhang nahi
Shukar karo hamain baghbani ka shoq nahi
Warna saare phool karte nafrat apne rang se
dunya ko manaaun kya? Jab Maa hi naraaz hai
Wo Rab se bhi kehti "Mera bеta be-namaaz hai"
Kehti "Tere rishte kyun tiktay nai bhalla?
Tu to tanha hi reh jaye jo rishta hi tor challa?"
Raat se ye wehem hai ke raat nahi dhal rahi
Wo shaam ke musaafir ki aafaat nahi tal rahi
Makhoton ki aar me sab chehray chupaa rahe
Mere sheeshe ke ghar pe sab hi ne pathar maare
Choro aaj kal to meri aankhain gustaakh hain
Ye karti hain ghalti jese ke sab maaf hai
Kaafi dino se mere raabtay hain munqatta
Me urr raha hawaa me chor chuka sattah
Saara sheher bhara logon se me phir bhi anjaan sa
Ab moat shaayad dur kare gilaa is insaan ka
Me shikwo pe shikwe roz bhejun hawaa me
Mukhaatib apne khaaliq se to khaaliq hi jawaab de
Me daakhil jis khalaa me hawaadis ke dabaav me
Samaaj is ko samjhaa de ya daairay barhaa de
Ya charkhon ke parray se is aashiq ko latkaa de
Ya charkhon ke parray se is aashiq ko latkaa de
Ya charkhon ke parray se
Is aashiq ko latkaa de (Each prayer accepted)
Ya charkhon ke parray se
Is aashiq ko latkaa de (And each wish resigned)
Wehem, shayad yahi mera aakhir hai
Rehem, ye zamaana mera qaatil hai
Theher, tera ghussa bhi jaayiz hai
Zeher, ye sakoon mujhe qaasir hai
Aaj kal mene kaash karna chor dia
Har aik dua ka mene rukh wahan mor dia
Waaday se rihaayi thi to taaluq mene tor dia
Khoon bhara qallam me aur kaaghaz pe nichor diya
Chabbees me prime pe
Han bola tha time dain
Ke banda ye qaim hai
Aur oonche azaaim
Isne chor di hui hain apni saari umeedain
Ye bech raha gham, dil kare to khareedain
Jeetega likh lo ke aur koi raasta nahi
Teh kar na paya aesa koi bhi to faasla nai
Raahain bhatakta par bhoolna ye jaanta nahi
Rok sake isse aisa koi bhi to waasta ni
Bhoola tha rasta aur ghar isse milgya
Chamakti wi cheezon se behlay wo dil kya?
Ye toota wa banda tha dil iska sil gaya
Shaayar aaj apne hi shairon se mil gaya



Авторы: Sunny Khan Durrani



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.
//}