Nusrat Fateh Ali Khan - Afree Afreen - Remix Songtexte

Songtexte Afree Afreen - Remix - Nusrat Fateh Ali Khan




Aisa dekha nahi khoob-soorat koyi
Jism jaise ajanta ki moorat koyi
Jism jaise nigaahon peh jaadu koyi
Jism naghmah koyi
Jism khush-bu koyi
Jism jaise mahakti hui chaandani
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise keh khilta hua ik chaman
Jism jaise keh sooraj ki pahli kiran
Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nasheen
Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nasheen
Aafireen aafreen
Aafireen aafreen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor
Man mera khincha chala aaya teri aor
Mere chehre ki subh zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa
To hai yeh jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen
Aafreen Aafreen Aafreen
Chehra ik phool ki tarah shaadaab hai
Chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan-e-ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ik khwaab bhi chehra taa'beer bhi
Chehra koyi alf lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hamnasheen
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Husn-e-jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Aafreen



Autor(en): Nusrat Fateh Ali Khan, Javed Akhtar, Raju Singh


Attention! Feel free to leave feedback.