Asha Bhosle - Hare Kanch Ki Chooriyan (Original) Lyrics

Lyrics Hare Kanch Ki Chooriyan (Original) - Asha Bhosle



Dhani chunari pahan
Dhani chunari pahan, sajke banke dulhan
Jaungi unke ghar, jinse laagi lagan
Aayenge jab sajan, aayenge jab sajan
Jeetne mera man
Kuch na bolungi mai, mukh na kholungi mai
Baj uthegi hare kanch ki chudiya
Ye kahengi hare kanch ki chudiya
Kanch ki chudiya, kanch ki chudiya
Chute mata pita
Chute mata pita, chhute vo balapan
Kheli mai jiske sang, pure solah savan
Deke tan aur man
Deke tan aur man, mai manau sajan
Teri baaho me ho, mera jivan maran
Ye kahengi hare kanch ki chudiya
Vada legi hare kanch ki chudiya
Kanch ki chudiya, kanch ki chudiya
Do salone vachan
Do salone vachan, tumko meri qasam
Ye qasam pyar ki, ye rasam pyaar ki
Ab nibhana sajan
Ab nibhana sajan, mat bhulana sajan
Jao parades to, jaldi aana sajan
Vada legi hare kanch ki chudiya
Fir kahengi hare kanch ki chudiya
Baj uthegi hare kanch ki chudiya
Kanch ki chudiya, kanch ki chudiya



Writer(s): Jaikshan Shankar, Shailendra


Asha Bhosle - Hare Kanch Ki Chooriyan
Album Hare Kanch Ki Chooriyan
date of release
01-12-1967




Attention! Feel free to leave feedback.