Faisal - 16 Saal paroles de chanson

paroles de chanson 16 Saal - Faisal



Umar 16 say mushkilay hay sar pay
Pesay kamaon ya bethun yunhe gharpe
Yunhe main art kay saharay kab tak rahun
Khali jaib mushkilon say kesay larun
Maa kehti chorde music main kya rakha hay
Kitnay kamaya or kya haal tere ghar ka hay
Kitna kamaya kitni zindagi sudhari
Khali jaib or wahe zimedari
Maa tu janti peechay nahi hatunga main
Roshan saweray na ho aysy he larunga main
Maa tu janti meri adat say waqif tu
Tu ne bhi jhela sab toh main b tera beta hoon
Waday kiye waday khudse pooray karnay hain
Karnay khwaab pooray jo bhi mere maan kay hain
Maa tu b khush reh yeh bhi to mere sapna hay
Maa tere khuwish saray sapnay pooray karnay hain
Pesa bolta hai rishte pesay he tolta hay
Pesa khuda yahan pesa he har waqt bolta hay
Chordetay hain pesay jab tere pass na ho
Chordetain hain phir chahy tu kitne pass ka ho
Main bhi bhoola nahi
Bure halat thay or na tha koi sahara
Main bhi bhoola nahi
Mushkilain thi sar pay na tha koi hamara
Main bhi bhoola nahi
Guzre waqt nay diye gehre zakham
Main bhi bhoola nahi
Dunga na zakham tumhay yaad rahy hum
Kon kiska kesa rishta
Kis say matlb janay kab tak
Kese log kesa mazhab
Naye log dikhatay naye kartab
Zindagi azaabon mein rehni hai kab tak
Bura dard bhi na lgay mujhe dard ab
Chehray do na janu kon sacha hay
Apnay paraye or paraya dikhta apna hay



Writer(s): Faisal Sultan


Faisal - 16 Saal - Single
Album 16 Saal - Single
date de sortie
19-11-2020



Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.