Jagjit Singh - Ek Purana Mausam Lauta paroles de chanson

paroles de chanson Ek Purana Mausam Lauta - Jagjit Singh



Subah subah ik khwab ki
Dastak par darwaza khola dekha
Sarhad ke us paar se
Kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maanoos the saarey
Chehre saarey sune sunaaye
Paanv dhoye haath dhulaye
Aangan mein aasan lagwaaye
Aur tandoor pe makki ke
Kuchh mote mote rot pakaye
Potli mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki
Faslon ka gud laaye the
Aankh khuli to dekha
Ghar mein koi nahin tha
Haath lagakar dekha to tandoor
Abhi tak bujha nahin tha
Aur hothon pe meethe gud ka
Jaayka ab tak chipak raha tha
Khwab tha shayad!
Khwab hi hoga!
Sarhad par kal raat suna hai chali thi goli
Sarhad par kal raat suna hai
Kuchh khwaabon ka khoon hua hai
Ek puraana mausam lauta
Ek puraana mausam lauta
Yaad bhari purvayi bhi
Ek puraana mausam lauta
Yaad bhari purvayi bhi
Aisa to kam hi hotha hai
Wo bhi ho tanhaayee bhi
Ek puraana mausam lauta
Yaad bhari purvayi bhi
Yaadon ki bauchaaron se jab
Palke bheegne lagti hai
Yaadon ki bauchaaron se jab
Palke bheegne lagti hai
Kitni soundi lagthi hai tab
Kitni soundi lagthi hai tab
Maanjhi ki ruswaee bhi
Ek puraana mausam lauta
Yaad bhari purvayi bhi
Do do shaklen dikthi hain
Is behke se aayine mein
Do do shaklen dikthi hain
Is behke se aayine mein
Mere saath chala aaya hai
Mere saath chala aaya hai
Aapka ik saudayee bhi
Aisa to kam hi hotha hai
Wo bhi ho tanhaayee bhi
Khamoshi ka haasil bhi
Ik lambi si kamoshi hai
Khamoshi ka haasil bhi
Ik lambi si kamoshi hai
Unki baath suni bhi humne
Unki baath suni bhi humne
Apni baat sunayi bhi
Aisa to kam hi hotha hai
Wo bhi ho tanhaayee bhi
Ek puraana mausam lauta
Ek puraana mausam lauta
Yaad bhari purvayi bhi




Jagjit Singh - Marasim
Album Marasim
date de sortie
02-06-2000




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.