Lata Mangeshkar - Mohe Bhool Gaye Sanwariya paroles de chanson

paroles de chanson Mohe Bhool Gaye Sanwariya - Lata Mangeshkar



Jo main aisa jaanati kii preet kiye dukh hoye
To nagar dhindhora pitati kii preet na kario koi
Mohe bhul gaye sawariyaa bhul gaye sawariyaa
Mohe bhul gaye sawariyaa bhul gaye sawariyaa
Aavan kah gaye ajahun aaye
Aavan kah gaye ajahun aaye
Lini na mori khabariyaa
Mohe bhul gaye sawariyaa bhul gaye sawariyaa
Dil ko die kyon dukh birh ke
Tod diya kyon mahal bana ke
Dil ko die kyon dukh birh ke
Tod diya kyon mahal bana ke
Aas dilaa ke o bedardi
Aas dilaa ke o bedardi pher lee kaahe najariya
Mohe bhul gaye sawariyaa bhul gaye sawariyaa
Nain kahe ro ro ke sajnaa
Dekh chuke ham pyaar kaa sapana
Nain kahe ro ro ke sajnaa
Dekh chuke ham pyaar kaa sapana
Preet hai juthi preetam jhootha
Preet hai juthi preetam jhootha
Juthi hai sari nagariyaa
Mohe bhul gaye sawariyaa bhul gaye sawariyaa



Writer(s): Shakeel Badayuni, Naushad


Lata Mangeshkar - Best Of Lata Mangeshkar , Mohammed Rafi & Asha Bhosle 60s Evergreen




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.