paroles de chanson Jawab Shikwa - Nusrat Fateh Ali Khan
Dil
se
jo
baat
nikaltī
hai
asar
rakhtī
hai
Par
nahīñ
tāqat-e-parvāz
magar
rakhtī
hai
Qudsi-ul-asl
hai
rif.at
pe
nazar
rakhtī
hai
ḳhaak
se
uThtī
hai
gardūñ
pe
guzar
rakhtī
hai
Ishq
thā
fitnagar
o
sarkash
o
chālāk
mirā
āsmāñ
chiir
gayā
nāla-e-bebāk
mirā
Pīr-e-gardūñ
ne
kahā
sun
ke
kahīñ
hai
koī
Bole
sayyāre
sar-e-arsh-e-barīñ
hai
koī
Chāñd
kahtā
thā
nahīñ
ahl-e-zamīñ
hai
koī
Kahkashāñ
kahtī
thī
poshīda
yahīñ
hai
koī
Kuchh
jo
samjhā
mire
shikve
ko
to
rizvāñ
samjhā
Mujh
ko
jannat
se
nikālā
huā
insāñ
samjhā
Thī
farishtoñ
ko
bhī
hairat
ki
ye
āvāz
hai
kyā
Arsh
vāloñ
pe
bhī
khultā
nahīñ
ye
raaz
hai
kyā
Tā-sar-e-arsh
bhī
insāñ
kī
tag-o-tāz
hai
kyā
Aa
ga.ī
ḳhaak
kī
chuTkī
ko
bhī
parvāz
hai
kyā
ġhāfil
ādāb
se
sukkān-e-zamīñ
kaise
haiñ
Shoḳh
o
gustāḳh
ye
pastī
ke
makīñ
kaise
haiñ
Is
qadar
shoḳh
ki
allāh
se
bhī
barham
hai
Thā
jo
masjūd-e-malā.ik
ye
vahī
aadam
hai
ālim-e-kaif
hai
dānā-e-rumūz-e-kam
hai
Haañ
magar
ijz
ke
asrār
se
nā-mahram
hai
Naaz
hai
tāqat-e-guftār
pe
insānoñ
ko
Baat
karne
kā
salīqa
nahīñ
nā-dānoñ
ko
Aa.ī
āvāz
ġham-añgez
hai
afsāna
tirā
Ashk-e-betāb
se
labrez
hai
paimāna
tirā
āsmāñ-gīr
huā
nāra-e-mastāna
tirā
Kis
qadar
shoḳh-zabāñ
hai
dil-e-dīvāna
tirā
Shukr
shikve
ko
kiyā
husn-e-adā
se
tū
ne
Ham-suḳhan
kar
diyā
bandoñ
ko
ḳhudā
se
tū
ne
Ham
to
mā.il-ba-karam
haiñ
koī
saa.il
hī
nahīñ
Raah
dikhlā.eñ
kise
rah-rav-e-manzil
hī
nahīñ
Tarbiyat
aam
to
hai
jauhar-e-qābil
hī
nahīñ
Jis
se
ta.amīr
ho
aadam
kī
ye
vo
gil
hī
nahīñ
Koī
qābil
ho
to
ham
shān-e-ka.ī
dete
haiñ
DhūñDne
vāloñ
ko
duniyā
bhī
na.ī
dete
haiñ
Haath
be-zor
haiñ
ilhād
se
dil
ḳhūgar
haiñ
Ummatī
bā.is-e-rusvā.i-e-paiġhambar
haiñ
But-shikan
uTh
ga.e
baaqī
jo
rahe
but-gar
haiñ
Thā
brāhīm
pidar
aur
pisar
aazar
haiñ
Bāda-āshām
na.e
baada
nayā
ḳhum
bhī
na.e
Haram-e-kāba
nayā
but
bhī
na.e
tum
bhī
na.e
Vo
bhī
din
the
ki
yahī
māya-e-rānā.ī
thā
Nāzish-e-mausam-e-gul
lāla-e-sahrā.ī
thā
Jo
musalmān
thā
allāh
kā
saudā.ī
thā
Kabhī
mahbūb
tumhārā
yahī
harjā.ī
thā
Kisī
yakjā.ī
se
ab
ahd-e-ġhulāmī
kar
lo
Millat-e-ahmad-e-mursil
ko
maqāmī
kar
lo
Kis
qadar
tum
pe
girāñ
sub.h
kī
bedārī
hai
Ham
se
kab
pyaar
hai
haañ
niiñd
tumheñ
pyārī
hai
Tab-e-āzād
pe
qaid-e-ramazāñ
bhārī
hai
Tumhīñ
kah
do
yahī
ā.īn-e-vafādārī
hai
Qaum
maz.hab
se
hai
maz.hab
jo
nahīñ
tum
bhī
nahīñ
Jazb-e-bāham
jo
nahīñ
mahfil-e-anjum
bhī
nahīñ
Jin
ko
aatā
nahīñ
duniyā
meñ
koī
fan
tum
ho
Nahīñ
jis
qaum
ko
parvā-e-nasheman
tum
ho
Bijliyāñ
jis
meñ
hoñ
āsūda
vo
ḳhirman
tum
ho
Bech
khāte
haiñ
jo
aslāf
ke
madfan
tum
ho
Ho
niko
naam
jo
qabroñ
kī
tijārat
kar
ke
Kyā
na
bechoge
jo
mil
jaa.eñ
sanam
patthar
ke
Safha-e-dahr
se
bātil
ko
miTāyā
kis
ne
Nau-e-insāñ
ko
ġhulāmī
se
chhuḌāyā
kis
ne
Mere
ka.abe
ko
jabīnoñ
se
basāyā
kis
ne
Mere
qur.ān
ko
sīnoñ
se
lagāyā
kis
ne
The
to
aabā
vo
tumhāre
hī
magar
tum
kyā
ho
Haath
par
haath
dhare
muntazir-e-fardā
ho
Kyā
kahā
bahr-e-musalmāñ
hai
faqat
vāda-e-hūr
Shikva
bejā
bhī
kare
koī
to
lāzim
hai
shu.ūr
Adl
hai
fātir-e-hastī
kā
azal
se
dastūr
Muslim
aa.iiñ
huā
kāfir
to
mile
huur
o
qusūr
Tum
meñ
hūroñ
kā
koī
chāhne
vaalā
hī
nahīñ
Jalva-e-tūr
to
maujūd
hai
muusā
hī
nahīñ
Manfa.at
ek
hai
is
qaum
kā
nuqsān
bhī
ek
Ek
hī
sab
kā
nabī
diin
bhī
īmān
bhī
ek
Haram-e-pāk
bhī
allāh
bhī
qur.ān
bhī
ek
Kuchh
baḌī
baat
thī
hote
jo
musalmān
bhī
ek
Firqa-bandī
hai
kahīñ
aur
kahīñ
zāteñ
haiñ
Kyā
zamāne
meñ
panapne
kī
yahī
bāteñ
haiñ
Kaun
hai
tārik-e-ā.īn-e-rasūl-e-muḳhtār
Maslahat
vaqt
kī
hai
kis
ke
amal
kā
me.aar
Kis
kī
āñkhoñ
meñ
samāyā
hai
shi.ār-e-aġhyār
Ho
ga.ī
kis
kī
nigah
tarz-e-salaf
se
be-zār
Qalb
meñ
soz
nahīñ
ruuh
meñ
ehsās
nahīñ
Kuchh
bhī
paiġhām-e-mohammad
kā
tumheñ
paas
nahīñ
Jā
ke
hote
haiñ
masājid
meñ
saf-ārā
to
ġharīb
Zahmat-e-roza
jo
karte
haiñ
gavārā
to
ġharīb
Naam
letā
hai
agar
koī
hamārā
to
ġharīb
Parda
rakhtā
hai
agar
koī
tumhārā
to
ġharīb
Umarā
nashsha-e-daulat
meñ
haiñ
ġhāfil
ham
se
Zinda
hai
millat-e-baizā
ġhorabā
ke
dam
se
Vā.iz-e-qaum
kī
vo
puḳhta-ḳhayālī
na
rahī
Barq-e-tab.ī
na
rahī
shola-maqālī
na
rahī
Rah
ga.ī
rasm-e-azāñ
rūh-e-bilālī
na
rahī
Falsafa
rah
gayā
talqīn-e-ġhazālī
na
rahī
Masjideñ
marsiyāñ-ḳhvāñ
haiñ
ki
namāzī
na
rahe
Yaanī
vo
sahib-e-ausāf-e-hijāzī
na
rahe
Shor
hai
ho
ga.e
duniyā
se
musalmāñ
nābūd
Ham
ye
kahte
haiñ
ki
the
bhī
kahīñ
muslim
maujūd
Vaz.a
meñ
tum
ho
nasārā
to
tamaddun
meñ
hunūd
Ye
musalmāñ
haiñ
jinheñ
dekh
ke
sharmā.eñ
yahūd
Yuuñ
to
sayyad
bhī
ho
mirzā
bhī
ho
afġhān
bhī
ho
Tum
sabhī
kuchh
ho
batāo
to
musalmān
bhī
ho
Dam-e-taqrīr
thī
muslim
kī
sadāqat
bebāk
Adl
us
kā
thā
qavī
laus-e-marā.āt
se
paak
Shajar-e-fitrat-e-muslim
thā
hayā
se
namnāk
Thā
shujā.at
meñ
vo
ik
hasti-e-fauq-ul-idrāk
ḳhud-gudāzī
nam-e-kaifiyat-e-sahbā-yash
buud
ḳhālī-az-ḳhesh
shudan
sūrat-e-mīnā-yash
buud
Har
musalmāñ
rag-e-bātil
ke
liye
nashtar
thā
Us
ke
ā.īna-e-hastī
meñ
amal
jauhar
thā
Jo
bharosā
thā
use
quvvat-e-bāzū
par
thā
Hai
tumheñ
maut
kā
Dar
us
ko
ḳhudā
kā
Dar
thā
Baap
kā
ilm
na
beTe
ko
agar
azbar
ho
Phir
pisar
qābil-e-mīrās-e-pidar
kyūñkar
ho
Har
koī
mast-e-mai-e-zauq-e-tan-āsānī
hai
Tum
musalmāñ
ho
ye
andāz-e-musalmānī
hai
Haidarī
faqr
hai
ne
daulat-e-usmānī
hai
Tum
ko
aslāf
se
kyā
nisbat-e-rūhānī
hai
Vo
zamāne
meñ
muazziz
the
musalmāñ
ho
kar
Aur
tum
ḳhvār
hue
tārik-e-qur.āñ
ho
kar
Tum
ho
aapas
meñ
ġhazabnāk
vo
aapas
meñ
rahīm
Tum
ḳhatā-kār
o
ḳhatā-bīñ
vo
ḳhatā-posh
o
karīm
Chāhte
sab
haiñ
ki
hoñ
auj-e-surayyā
pe
muqīm
Pahle
vaisā
koī
paidā
to
kare
qalb-e-salīm
Taḳht-e-faġhfūr
bhī
un
kā
thā
sarīr-e-ka.e
bhī
Yuuñ
hī
bāteñ
haiñ
ki
tum
meñ
vo
hamiyat
hai
bhī
ḳhud-kushī
sheva
tumhārā
vo
ġhayūr
o
ḳhuddār
Tum
uḳhuvvat
se
gurezāñ
vo
uḳhuvvat
pe
nisār
Tum
ho
guftār
sarāpā
vo
sarāpā
kirdār
Tum
taraste
ho
kalī
ko
vo
gulistāñ
ba-kanār
Ab
talak
yaad
hai
qaumoñ
ko
hikāyat
un
kī
Naqsh
hai
safha-e-hastī
pe
sadāqat
un
kī
Misl-e-anjum
ufuq-e-qaum
pe
raushan
bhī
hue
But-e-hindī
kī
mohabbat
meñ
birhman
bhī
hue
Shauq-e-parvāz
meñ
mahjūr-e-nasheman
bhī
hue
Be-amal
the
hī
javāñ
diin
se
bad-zan
bhī
hue
In
ko
tahzīb
ne
har
band
se
āzād
kiyā
Lā
ke
ka.abe
se
sanam-ḳhāne
meñ
ābād
kiyā
Qais
zahmat-kash-e-tanhā.i-e-sahrā
na
rahe
Shahr
kī
khaa.e
havā
bādiya-paimā
na
rahe
Vo
to
dīvāna
hai
bastī
meñ
rahe
yā
na
rahe
Ye
zarūrī
hai
hijāb-e-ruḳh-e-lailā
na
rahe
Gila-e-zaur
na
ho
shikva-e-bedād
na
ho
Ishq
āzād
hai
kyuuñ
husn
bhī
āzād
na
ho
Ahd-e-nau
barq
hai
ātish-zan-e-har-ḳhirman
hai
Aiman
is
se
koī
sahrā
na
koī
gulshan
hai
Is
na.ī
aag
kā
aqvām-e-kuhan
īñdhan
hai
Millat-e-ḳhatm-e-rusul
shola-ba-pairāhan
hai
Aaj
bhī
ho
jo
brāhīm
kā
īmāñ
paidā
Aag
kar
saktī
hai
andāz-e-gulistāñ
paidā
Dekh
kar
rañg-e-chaman
ho
na
pareshāñ
maalī
Kaukab-e-ġhuncha
se
shāḳheñ
haiñ
chamakne
vaalī
ḳhas
o
ḳhāshāk
se
hotā
hai
gulistāñ
ḳhālī
ġhul-bar-andāz
hai
ḳhūn-e-shohdā
kī
laalī
Rañg
gardūñ
kā
zarā
dekh
to
unnābī
hai
Ye
nikalte
hue
sūraj
kī
ufuq-tābī
hai
Ummateñ
gulshan-e-hastī
meñ
samar-chīda
bhī
haiñ
Aur
mahrūm-e-samar
bhī
haiñ
ḳhizāñ-dīda
bhī
haiñ
SaikḌoñ
naḳhl
haiñ
kāhīda
bhī
bālīda
bhī
haiñ
SaikḌoñ
batn-e-chaman
meñ
abhī
poshīda
bhī
haiñ
Naḳhl-e-islām
namūna
hai
birau-mandī
kā
Phal
hai
ye
saikḌoñ
sadiyoñ
kī
chaman-bandī
kā
Paak
hai
gard-e-vatan
se
sar-e-dāmāñ
terā
Tū
vo
yūsuf
hai
ki
har
misr
hai
kan.āñ
terā
Qāfila
ho
na
sakegā
kabhī
vīrāñ
terā
ġhair
yak-bāñg-e-darā
kuchh
nahīñ
sāmāñ
terā
Naḳhl-e-shama
astī
o
dar
shola
do-resha-e-tū
āqibat-soz
bavad
sāya-e-andesha-e-tū
Tū
na
miT
jā.egā
īrān
ke
miT
jaane
se
Nashsha-e-mai
ko
ta.alluq
nahīñ
paimāne
se
Hai
ayaañ
yurish-e-tātār
ke
afsāne
se
Pāsbāñ
mil
ga.e
ka.abe
ko
sanam-ḳhāne
se
Kashti-e-haq
kā
zamāne
meñ
sahārā
tū
hai
Asr-e-nau-rāt
hai
dhundlā
sā
sitārā
tū
hai
Hai
jo
hañgāma
bapā
yurish-e-bulġhārī
kā
ġhāfiloñ
ke
liye
paiġhām
hai
bedārī
kā
Tū
samajhtā
hai
ye
sāmāñ
hai
dil-āzārī
kā
Imtihāñ
hai
tire
īsār
kā
ḳhuddārī
kā
Kyuuñ
hirāsāñ
hai
sahīl-e-faras-e-ādā
se
Nūr-e-haq
bujh
na
sakegā
nafas-e-ādā
se
Chashm-e-aqvām
se
maḳhfī
hai
haqīqat
terī
Hai
abhī
mahfil-e-hastī
ko
zarūrat
terī
Zinda
rakhtī
hai
zamāne
ko
harārat
terī
Kaukab-e-qismat-e-imkāñ
hai
ḳhilāfat
terī
Vaqt-e-fursat
hai
kahāñ
kaam
abhī
baaqī
hai
Nūr-e-tauhīd
kā
itmām
abhī
baaqī
hai
Misl-e-bū
qaid
hai
ġhunche
meñ
pareshāñ
ho
jā
Raḳht-bar-dosh
havā-e-chamanistāñ
ho
jā
Hai
tunak-māya
tū
zarre
se
bayābāñ
ho
jā
Naġhma-e-mauj
hai
hañgāma-e-tūfāñ
ho
jā
Quvvat-e-ishq
se
har
past
ko
baalā
kar
de
Dahr
meñ
ism-e-mohammad
se
ujālā
kar
de
Ho
na
ye
phuul
to
bulbul
kā
tarannum
bhī
na
ho
Chaman-e-dahr
meñ
kaliyoñ
kā
tabassum
bhī
na
ho
Ye
na
saaqī
ho
to
phir
mai
bhī
na
ho
ḳhum
bhī
na
ho
Bazm-e-tauhīd
bhī
duniyā
meñ
na
ho
tum
bhī
na
ho
ḳhema-e-aflāk
kā
istāda
isī
naam
se
hai
Nabz-e-hastī
tapish-āmāda
isī
naam
se
hai
Dasht
meñ
dāman-e-kohsār
meñ
maidān
meñ
hai
Bahr
meñ
mauj
kī
āġhosh
meñ
tūfān
meñ
hai
Chiin
ke
shahr
marāqash
ke
bayābān
meñ
hai
Chashm-e-aqvām
ye
nazzāra
abad
tak
dekhe
Rif.at-e-shān-e-rafānā-lakā-zikrak
dekhe
Mardum-e-chashm-e-zamīñ
yaanī
vo
kaalī
duniyā
Vo
tumhāre
shohdā
pālne
vaalī
duniyā
Garmī-e-mehr
kī
parvarda
hilālī
duniyā
Ishq
vaale
jise
kahte
haiñ
bilālī
duniyā
Tapish-andoz
hai
is
naam
se
paare
kī
tarah
ġhota-zan
nuur
meñ
hai
aañkh
ke
taare
kī
tarah
Aql
hai
terī
sipar
ishq
hai
shamshīr
tirī
Mire
darvesh
ḳhilāfat
hai
jahāñgīr
tirī
Mā-sivā-allāh
ke
liye
aag
hai
takbīr
tirī
Tū
musalmāñ
ho
to
taqdīr
hai
tadbīr
tirī
Kī
mohammad
se
vafā
tū
ne
to
ham
tere
haiñ
Ye
jahāñ
chiiz
hai
kyā
lauh-o-qalam
tere
haiñ
Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.