Nusrat Fateh Ali Khan - Mujhko Teri Qasam paroles de chanson

paroles de chanson Mujhko Teri Qasam - Nusrat Fateh Ali Khan



Tumhara rasaalat mein saani aab ho na saka
Tumhara koi kahin bhi jawaab ho na saka
Rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
Koi bhi sahib e ummul ki taab ho na saka
Ya rasool e khuda sayyid e do sana
Aye shah e ambiya aye mere mustafa
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Isa ko bhi dekha musa ko bhi dekha
Yusuf ko bhi dekha par
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Phire zamaane mein chaar janib
Nigah e yakta tumhi ko dekha
Haseen dekhe jameel dekhe
Par tumsa tumhin ko dekha
Shah e yasrabi tere husn ki
Shah e yasrabi tere husn ki
Kise taab jo kare hamsareen
Na gulon mein aisi shaguftagi
Na ye rung o boo na ye taazgi
Ye ankhokhi chchab ye nai phaban
Ye adayein pyari yeh saadgi
Teri misl koi hua na tere sad ke jaaun ya nabi
Tera dar hai zamaane mein sabse bada
Tere dar se nahin koi khaali gaya
Shahenshah e karam shahenshah e ata
Aye shah e ambiya aye mere mustafa
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Jo bhikhari gaye taajwar ho gaye
Din ghareebon ke achche basar ho gaye
Tere dar se mila jisko jo kuch mila
Aye shah e ambiya aye mere mustafa
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Mairaaj main jibraaeel se kehne lage shah e umam
Tune toh dekhe hain haseen batlao toh kaise hain ham
Rooh ul ameen kehne laga aye nazneen haq ki kasam
Afaakaha gar deeda um mehre butan warzeeda um
Is yaar khooban deeda um lekin koi cheeza deeghari
Jisko tujhse shaha koi nisbat hui
Usko duniya ke gham se rihayi mili
Tu hai har dard ki har alam ki dawa
Aye shah e ambiya aye mere mustafa
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Ya nabi iltajaaon ka rakhna bharam
Sooe naadir bhi ho ik nazre karam
Kaun duniya mein hai tujhsa haajat rawa
Aye shahe ambiya aye mere mustafa
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Teri deed karne ko khud khuda
Tujhe paas apne bula liya
Toh bitha ke saamne ye kaha
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Soorat ko teri kuch muh se na nikla,
Nikla toh ye nikla
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin
Har har kundal kundal utte
Aashiq da dil dole
Husn tere di sifat ki aakhan
Kaafir kalma bole
Mujhko teri kasam tujhsa koi nahin




Nusrat Fateh Ali Khan - Kise Da Yaar Na Vichhrey, Vol. 2
Album Kise Da Yaar Na Vichhrey, Vol. 2
date de sortie
04-04-2014




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.