RPS Amar Vikal - Karma (Covid-19) paroles de chanson

paroles de chanson Karma (Covid-19) - RPS Amar Vikal



Insaniyat kaam aawid kare
Kyu ghar mein khudko kaid kare
Corona hai karmo ka fal
Ilaaj na abb koi vaidya kare
Prachand roop pani ka dekh
Feli ab mahamaari hai
Ye sari galti humari thi
Par abb nature ki bari hai
Chalain karkhane or dhuaa chale
Kaise ab koi duaa chale
Face mask lgate hai kehate hai
Dusit si koi hawa chale
Aise samaj ka hissa hu
Dar kar panchi le sans jahan
Chuhe tak ye hajam karen
Kal khayenge khudka maas yahan
Duniya daari badal gayi
Tabhi kaal pada aaj bhari hai
Suna kalyug mein kali baat
Sankat mein duniya sari hai
Apni seema bhulti ja rahi hai
Har ceez ko duniya kha rahi hai
Gaya sar se uper paani jo
Dard se maa chilla rahi hai
Thanos jaise ye virus
Adha world chapet mein lelega
Dharam ke naam pe dange hai
Or paap ke danke bajta h
Bol kyu koi apne sine pe
Aise dard ko jhelga
Wo grate mother se khelta hai jo
Jo prani hai do dhele ka
Jo sarhad pe tainaat the
Kyu? Galiyon mein aaj aana pada
Kya adhi janta pagal hai jo
Ghar ghar jaake btana pada
Ke ghar mein raho
Mahamaari mazak nahi
Thode dar mein raho
Par tum kiski haan manoge
Kuch ho jayega tab janoge
Besarmi ka haal mere bhai
Halfilal mein dekha hai
Dukandaar ne 2 ki cheez ko
4 rupay mein beka hai
Ab toh thodi sharm karo
Itne bhi tuchh karam karo
Na paiso ne maut ko roka hai
Lo soch badal abhi mauka hai
Mein dil se shukra gujaar hu
Jo desh ke hitt mein aata hai
Kayiyo ne paise daan kare
Gareeb ki bhukh mitate hai
Police ko bhi salute hai
Ache se insaaf karo
Jo ghume lo remand pe
Jo majboor hai unko maaf karo
Mask lgao sanitize karo
2 meter dur se baat hogi
Follow karenge lockdown
Sari batein iss ke baad hongi
Humne earth bimaar kiya
Hum bapis se theek karenge
Jeet humare hathon mein hai
Milke virus ko weak karenge



Writer(s): Rps Amar Vikal


RPS Amar Vikal - Karma (Covid-19)
Album Karma (Covid-19)
date de sortie
19-04-2020




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.