Sabri Brothers - Yeh Meri Ibadat Nahin paroles de chanson

paroles de chanson Yeh Meri Ibadat Nahin - Sabri Brothers




Un ki nigaah e naaz jab banda nawaz ho gayi
Apni nawa e shauq bhi dam dama saaz ho gayi
Qalb me ek tadap uthi Aansuon se wuzu hua
Aap jo yaad aa gaye apni namaz ho gayi
Tumhare tasawur me din raat rehna... oooo
Tumhare tasawur me din raat rehna
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Ho umr ki darazi agar ikhtiyaar mein.
Sadiyaan guzaar dun main tere intezar me
Tumhare tasawur me din raat rehna
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Aye jaan e man janan e man
Bar man nigar sultan e man
Yak shab beyaa mehman e man
Az man chara ranjeeda ee...
Aarzoo daram k mehmanat kunam
Jaan o dil aye dost qurbanat kunam
Koi kaahu me magan koi kaahu me magan
Hum waahhu me magan jaise laagi lagan
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Aarzoo daram k mehmanat kunam
Jaan o dil aye dost qurbanat kunam
Koi kaahu me magan koi kaahu me magan
Hum waahhu me magan jaise laagi lagan
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Tumhare tasawur me din raat rehna
Tumhare tasawur me din raat rehna
Ho mukh mehboob da khana kaaba
Jithe aashiq sajda karde hoo
Do zulfaan wich nain musalley
Jithey chaar mazhab aa ral de hoo
Tumhare tasawur me din raat rehna
Tumhare tasawur me din raat rehna
Tujhi ko dekhna teri hi sunna tujh me gum rehna rehna
Tumhare tasawur me din raat rehna
Tumhare tasawur me din raat rehna
Meri justuju meri aarzoo mera muda'aa teri zaat hai
Tera zikr wajh e sukoon e dil tera ishq meri hayat hai jaanan.
Tumhare tasawur me din raat rehna
Tumhare tasawur me din raat rehna
Ho ke rooposh na dil tod tamannayi ka
Hausla past na kar apne tu shedayi ka
Hum bhi bandhenge tere ishq me ehraam e junoon
Hum bhi dekhenge tamasha teri lailaayi ka
Tumhare tasawur me din raat rehna
Tumhare tasawur me din raat rehna
Nazron se nihaan q rehte ho jab jaan liya pehchan liya
Mansha e hijaab aakhir kya hai hum ne to khuda bhi maan liya
Tumhare tasawur me din raat rehna
Yeh meri ibadat nahi hai to kya hai?
Jidhar dekhta hun tumhi jalwa gar ho
Ye meraaj e ulfat nahin hai to kya hai
Kahan hum kahan wo kahan be hijaabi
Kahan raazdaari e husn o mohabbat
Munsalib ho gayi surat bhi tawanaayi bhi
Salb kar lijiye ab Quwat e goyaayi bhi
Tere jalwon ko jo dekha to ye ahsaas hua
Kis qadar qimti shay hai meri beenayi bhi
Kahan hum kahan wo kahan be hijaabi
Deedar ke qaabil to kahan meri nazar hai
Ye teri inayat hai k rukh tera idhar hai
Kahan hum kahan wo kahan be hijaabi
Kahan raazdaari e husn o mohabbat
Kahan apni nazrein kahan un ke jalwe
Ye unki inayat nahin hai to kya hai...
Bahot apne armaan e dil nikle baaqar
Magar phir bhi hai ek hujoom e tamanna
Unhein baantni hai wahi beqarari
Junoon e Mohabbat nahin hai to kya hai...!!
Tumhare tasawur me din raat rehna...



Writer(s): Sabri Maqbool Ahmed, Baqar Shahjahan Puri


Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.