Zakir Sudhmahadev - TALASH-E-MAASH (feat. Nusrat Fateh Ali Khan) paroles de chanson

paroles de chanson TALASH-E-MAASH (feat. Nusrat Fateh Ali Khan) - Zakir Sudhmahadev



Talash e Maash
Mein hain gum
Aur darbar bhatakte
Sapno ki aas mein
Pairon ke bal
Khatam hue
Ye seedhiyan bhi
Chad li
Ye degreeyan bhi
Padh li
Mujhe beidiyan
Jakad Li
Tujhe keediyan hain
Pad gi
Meri Aediyan hai
Ghis gi
Meri peediyan bhi
Muk gi
Meine geetiyan bhi
Chun li
Meine seetiyan bhi
Sun li
Meri chheentiyan bhi
Dhul gi
Meine cheentiyan bhi
Gin li
Mere bhari itne lafz
Giroge kha ke kha
Ke ghash
Jo kamane ki ayi bari
Toh thehre hum gulaam
Jo jatane ki ayi bari
Toh gehre lage ilzaam
Jo lagane ki ayi bari
Toh Lehra ke hue nilaam
Ghar mein baithe baithe
Humein zamane hogye
Logon ke tane aur fasane
Purane hogye
Jeena hua muhaal hai
Kala nilaam hai
Kala ka ghonta gala
Ab jana kahan hai
Imtehaan hai kal
Competition hai ab
Competition hai itna
Berozgar hain sab
Meine motein bhi dekhi
Lagti chotein bhi dekhi
Sikke khote bhi dekhe
Log mote bhi dekhe
Log chhote bhi dekhe
Lagte dhokhe bhi dekhe
Lagte gote bhi dekhe
Paon dhote bhi dekhe
Khudko rote bhi dekha
Apno ko khote bhi dekha
Meine job bhi li hai
Talent pe
Kamata apne hunar se
Kamate ho mazdoori se
Mazdoori buri cheez neyi
Majboori buri cheez hai
Dikhati din hai kese kese
Kaise kaise aise vaise hogye
Aise vaise kaise kaise hogye
Haqiqat hoti kadwi
Mazdoor ki roti roti na
Chhoti teri soch toh
Rona bete rona na
Tu khouf khana thoda
Toh sona bete sona na
Meine rhyme na kiya toh
Kya kiya na hip hop
Meine time na diya tujhe toh
Hua tu khilaaf
Under pressure mere enemy
Underground mere homies
Under age mere dushman
Under taker mere dost
Amanat mein khayanat
Adalat mein wakalat
Rap mein politics aur
Awaam dekhe chiks
Na baat yahan paise ki
Na baat yahan fame ki
Kiya itna struggle sath
Kiya itna Hustle sath
Jab kamane aye haath
Toh chhoot gya phir sath
Tab hue aise masle
Ke na mile uske baad
Logon ki batein sunn ke
Hum door ho gye
Fir dushmanon ki baton pe
Hum gour kar gye
Mein miss karun uss team ko
Tha banaya jis dream ko
Mein chahta aaj vesa ho par
Hochuki hai der bohut
Ab sabke apne raste
Aur sab ki apni soch
Ab sochte apne waste
Aur sab ke apne log
Meine tikna ni hai
Scene mein
Na bikna hai iss scene
Zinda rehna zameen
Ban ke rehna hi Azeem
Meine unpe bhi react
Na kiya
Jo jaan ki dete dhamki the
Mein unko bhi respect diya
Jo kaan mein dete ungli the
Mein shayaron ka halwa dun
Mujhe girana yun asaan na
Mein aandhiyon se aya hun
Mujhe udana yun asaan na
Maine jana aage khayi mein
Ya karni hai kamayi
Mein doobe rehna dood mein
Ya peena Jake Pani
Mera carrier hi andhera
Mein andhere ka shikari
Mein andhera karun roshan
Aur tu na phir dikhayi de
Siyahi gar khatam ho toh
Mein khoon se likhunga




Zakir Sudhmahadev - TALASH-E-MAASH
Album TALASH-E-MAASH
date de sortie
13-02-2022




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.