Anuradha Paudwal - Krishna Amrit Bhakti текст песни

Текст песни Krishna Amrit Bhakti - Anuradha Paudwal




"krishna-krishna" din-raat japo, rome-rome mein shyaam
Bansi waale saanwariyaa, hum hain tere gulam
Dhanya hai brijbhoomi, jahaan krishna liye avatar
Brij kee dhul chandan banee, jahaan khelen nand kumaar
Saanwri murat kanha kee jo dekhen ek baar
Prema-deewaanaa ho jae man, sukh mil jae apaar
Shyaam-sundar, bansidhar, murali madhur bajaae
Saaree sud-budh bhool ke, man shyaam naam gun gae
Shyaam-rup raadha banee, raadha ban gae shyaam
Donon milkar ek hue, prema-rang, sukh dham
Madhav jag ke mul hai, shri hari ke avatar
Vrundavan ke nath hai jag ke paalanhaar
Shrimad bhagavat gita hai saba shastron ka saar
Jiskoo gita gyaan milen, ho jae bhav paar
Har pal jeevan ghat raha, samaya badaa anmol
Krishna-bhakthi mein doob ke "raadhe-raadhe" bol
(raadhe-krshn, raadhe-krshn)
(krshn-krshn, raadhe-raadhe)
Gal baijyanti maala sohe, rup saanvaraa man ko mohe
Mor-mukut sundar hai sir par (kar kangan, odhe peetaambar)
Kaanan kundal, haath lakutiyaa, pairon mein baaje painjaniyaan
Sundar baanki hai muskaniya (manmohan hai krishna-kanhaiya)
Devaki aur vasudev ke nandan, mathura mein janmen jagvandan
Karagrih se gokul aaye (nand-yashoda ati harshaayen)
Sang khele balarama bhaiya, jhula jhulaae yashoda maiya
Jamunaa tat par murali bajaae (saba gopinh ke vastr churaae)
Brij mein maakhan khub churaayaa, gopiyon ne khub nachaaya
Raadha ke sang raas rachaae (kunj wanon mein dhenu charaae)
Indra kiye jab varsha bhaaree, krishna bane govardhan-dhaaree
Naag nathaya kalidah par (sarp ke fan par naachein natwar)
Durjan paap karen dharti par, shri hari aaye krishna jee banakar
Putan aur bakasur maare ("jai, jai krishna" ke ho jayakaaren)
Baal krishna lila kare, chhote se nandlaal
Yadukul-bhushan krishna bane dusht kansa ke kaal
(raadhe-krshn, raadhe-krshn)
(krshn-krshn, raadhe-raadhe)
Dwapar yug mein madan-murari, solah kala purna avtari
Dwarikapuri dham banaaya (rukmani ke sang byaah rachaaya)
(shri krishna sharanam)
Keshav hee arjuna ke saathee, mahabharat mein bane sarathi
Gita gyaan sikhaane waale (vishwaroop darshane waale)
(shri krishna sharanam)
Draupadi jab prabhu-sharan mein aayi, bhari sabha mein laaj bachaai
Mira pee gayi zahar ka pyaala (vish amrth kar kiya ujalaa)
(shri krishna sharanam)
Mitra sudama ke ban aaye, narsi jee ka maan badaye
Surdaas hari-bhajan sunaae (tukaraam vitthal gun gae)
(shri krishna sharanam)
Jagannatha, jai badri vishala, tirupati balaji, gopala
Vrundavan ke banke-bihari (jai ho, dwarikadhish murari)
(shri krishna sharanam)
Praan jae jamunaa tat par, krishna-charan ho paas
Mukh mein prabhu ka naam ho, pooree ho yah aas
(raadhe-krshn, raadhe-krshn)
(krshn-krshn, raadhe-raadhe)
(raadhe-krshn, raadhe-krshn)
(krshn-krshn, raadhe-raadhe)



Авторы: Pandit Kedar Prabhakar, Tiwari Udit Narayan



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.