Текст песни Mehfil Mein Baar Baar - Ghulam Ali
Teri baat hi sunaane aaye, dost bhi dil hi dukhaane aaye
Phool khilte hai to ham sochate hai tere aane kaa jamaane aaye
Shaayad mujhe nikaal ke pachhataa rahe ho aap
Mehafil main is khyaal se phil aa gaya hoon main
Mehafil main baar baar kisi par nazar gai
Hamane bachaai lakh magar phir udhar gai
Unki nazar main koi to jaadu zurur he
Jis par padi, usi ke jigar tak utar gayi
Us bevafa kii aankh se aansu jhalak pade
Hasarat baari nigaah bada kaam kar gai
Hasarat, Hasrat: Desire, Intense Sorrow, Longing, Regret, Wish, Yearning
Unke jamaal-i-rukh pe unhi kaa jamaal tha
Voh chal die to raunak-i-shaam-o-sahar gai
Unke jamaal-e-rukh pe unhi ka jamaal tha
Woh chal diye, to raunak-e-shaam-o-sahar gai...
Jamaal, Jamaal: Beauty, Elegance, Loveliness, Glow, Brightness
Jamaal-i-rukh, Jamaal-e-Rukh: Glowing face
Shaam-o-sahar, Shaam-o-sahar: Dusk and dawn, sunset and sunrise
Unako khabar karo ke he bismil kareeb-i-marg
Voh aayenge zurur jo un tak khabar gai
Unko khabar karo ke hai 'Bismil' Qareeb-e-marg
Woh aayenge zuroor, jo un tak khabar gai
Bismil, Bismil: A reference to the poet Agha Bismil
Kareeb, Kareeb: Adjacent, Akin, Approaching, Almost, Approximately, Near
Marg, Marg: Death
Kareeb-i-marg, Kareeb-e-Marg: Approaching death, on death bed

Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.