Kishore Kumar feat. Mohammed Rafi - Tere Chehre Se Parda Hatana текст песни

Текст песни Tere Chehre Se Parda Hatana - Mohammed Rafi , Kishore Kumar




Hm, badi rangeen mehfil hai
Bada betaab har dil hai
Ghata mein hai abhi bijli
Abhi parde mein kya katil hai?
Tere chehre se parda hatana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah, ya Allah, wallah, wallah, wallah)
Vaar teri nazar ka bachana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah)
Teri mehfil (teri mehfil), teri mehfil (teri mehfil)
Arrey, teri mehfil ki khaatir tamasha hai hum
(Tamasha hai hum, tamasha hai hum) haan
Par tujhe ek tamasha dikhana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah, ya Allah, wallah, wallah, wallah)
Oh, tere chehre se parda hatana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah) vaar teri nazar ka bachana bhi hai
Aaj dekhenge hum kya qayamat hai tu
Kya gajab, kya keher hai, kaisi aafat hai tu
Arrey-rey-rey-rey, jaanleva agar tere andaaz hai
Hum darenge nahi, hum bhi jaanbaz hai
(Jaanleva agar tere andaz hai)
(Hum darenge nahi, hum bhi jaanbaz hai)
Faisla ho (faisla ho), faisla ho (faisla ho)
Arrey, faisla aaj ho jaaye har baat ka
(Har baat ka, har baat ka) haan-haan
Saamne tu bhi hai, yeh zamana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah, ya Allah, wallah, wallah, wallah)
Oh, tere chehre se parda hatana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah) ai, vaar teri nazar ka bachana bhi hai
Itna betab naa ho, dil ko zara tham le
Benazara ho, toh koi sabr se kya kaam le
Khel hi khel mein har khel bigad jaaye na
Is kaleje mein koi aag yeh bhadkaye na
Bahut nache (bahut nache), bahut nache (bahut nache)
Haan, bahut nache tere ishaaron pe hum
(isharo pe hum, isharo pe hum)
Nachkar aaj tujhko nachana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah, ya Allah, wallah, wallah, wallah)
Tere chehre se parda hatana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah) vaar teri nazar ka bachana bhi hai
Bala se jaan jati hai toh jaye
Arrey, jee ke kya hoga
Tadap kar raat-din gum ka zahar yeh
Pee ke kya hoga
Aaj tak tadpe hum, aaj teri baari hai
Aaj ki shab teri jaan pe bhaari hai
Arrey-rey-rey, dil tera aaj zaalim ke panje mein hai
Bereham kaatilon ke shikanje mein hai
(Dil tera aaj zaalim ke panje mein hai)
(Bereham kaatilon ke shikanje mein hai)
Dilon par parde-parde mein yeh khanjar
Dekhne waale, tamasha khud naa ban jaana
Tamasha dekhne waale
Kuch aahon ko rang to laane de
Bat ban jaayegi, waqt to aane de
Arrey-rey-rey-rey, baat dil ki hai honthon pe kabse ruki
Zulm kabtak sahein, abh to had ho chuki
(Baat dil ki hai honthon pe kabse ruki)
(Zulm kabtak sahein, abh to had ho chuki)
Oh, sitamgar (oh, sitamgar), oh, sitamgar (oh, sitamgar)
Oh, sitamgar, bade zulm tune kiye
(Haan, tune kiye, haan ji, tune kiye)
Aaj zulmon ka badla chukana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah, ya Allah, wallah, wallah, wallah)
Oh, tere chehre se parda hatana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah) vaar teri nazar ka bachana bhi hai
(Wallah, wallah, wallah, ya Allah, wallah, wallah, wallah)
(Wallah, wallah, wallah, ya Allah, wallah, wallah, wallah)



Авторы: Anjaan, Nagrath Rajesh Roshan



Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.