Mahendra Kapoor - Dulhan Chali текст песни

Текст песни Dulhan Chali - Mahendra Kapoor



Singers: Mahendra Kapoor
Purab mein, suraj ne chhedi, jab kirno ki shehnaai
Chamak uthha sindoor gagan pe, pachchim tak laali chhaayi
Hmmae, hmmae
Dulhan chali, haan pahen chali,
Ho re dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli
Dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli
Aaae, hoae
Taaj-mahal jaisi taaza hai surat
Chalti phirti ajanta ki murat
Mel milaap ki mehandi rachaayeae balidaanon ki rangoli
Dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli
Ho...
Aur sajegi abhi aur sawregi
Chadhhti umariya hai aur nikhregi
Apni aazaadi ki dulhaniyaae deep ke upar holi
Dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli
Dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli
Desh prem hi azaadi ki dulhaniya ka war hai
Is albeli dulhan ka sindoor suhaag amar hai
Maata hai Kasturba jaisiae baabul Gandhi jaise
Baabul Gandhi jaise
Chaacha iske Nehru Shaastriae, daren na dushman kaise
Daren na dushman kaise
Veer Shivaaji jaise viren, Lakshmi baai behna
Lakshman jis ke bodh Bhagat Singh, uska phir kya kehna
Uska phir kya kehna
Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga
Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga
Aage peechhe teenon sena le ke chalen tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga
Ho koyi hum praant ke vaasi ho koyi bhi bhaasha-bhaashi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi... (4)



Авторы: Indeewar, Kalyanji Virji Shah, Anandji V Shah


Mahendra Kapoor - Purab Aur Pachim (Original Motion Picture Soundtrack)
Альбом Purab Aur Pachim (Original Motion Picture Soundtrack)
дата релиза
01-12-1970




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.