Sabri Brothers - Tajdare Haram Ho Nigahe Karam Lyrics

Lyrics Tajdare Haram Ho Nigahe Karam - Sabri Brothers



Kismat mein meri chain se jeena likh de
Doobe na kabhi mera safeena likh de
Jannat bhi ganwara hai, magar mere liye
Aye kaatib-e-taqdeer, madina likhde
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Koi apna nahi gham ke maaray hain hum
Aapke darr pe faryaad laaye hain hum
Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum
Aapka naam le le ke marjayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Kya tumse kahun aye Arab ke kunwar
Tum jaanat ho mann ki battiyaan
Darr furqat toh aye ummi-laqab
Kaate na katath hai ab rattiyaan
Turi preet mein sudbud sab bisri
Kab tak ye rahegi beqabri
Daah-e-ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri battiyaan
Aapke darr se na koi khali gaya
Apne daman ko bhar ke sawali gaya
Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikar jayenge
Taj dare haram Taj dare haram
Maikashon aao aao madine chalen
Aao madine chalen, chalo madeene chalen
Aao madine chalen, Isi mahine chalen
Aao madine chalen, Haj ke mahine chalen
Tajalliyon ki ajab hai fizaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madeene mein
Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein
Aao madine chalen, chalo madine chalen
Aao madine chalen, Isi mahine chalen
Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saaqiy-e-kausar se peene chalen
Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Khof-e-toofan hai, bijliyon ka hai darr
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayen hum
Ap hi na garr na lenge, hamari khabar
Hum musibat ke maaray kidhar jayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram
Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana
Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, pursa tuhi
Mann aasiyam, Mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Pursa tuhi, pursa tuhi
Aye mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub haram
Aye charagar insanafas
Aye musliheh beemar-e-gham
Aye qaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Innil taya reehas saba
Yauman ila-ardil-haram
Balligh salami roza tann
Fi-han nabi-al-mohtaram
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge
Tajdar-e-haram Tajdar-e-haram



Writer(s): H B Madani, H Mirza, Sabri Maqbool Ahmed


Sabri Brothers - Tajdare Haram - Live In Concert
Album Tajdare Haram - Live In Concert
date of release
23-01-2007




Attention! Feel free to leave feedback.