Aziz Nazan - Bas Naam Rah Gaya Hai paroles de chanson

paroles de chanson Bas Naam Rah Gaya Hai - Aziz Nazan



Album: Main Nashe Main Hoon 1992
Snger: Aziz Nazan
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Bas naam reh gaya hai mohabbat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai mohabbat nahin rahi
Duniya main ab Quloos ki
Duniya main ab Quloos ki keemat nahin rahi...
Bas naam reh gaya hai mohabbat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai...
Yun khelte hain roz naye hadson se hum
Yun khelte hain roz naye hadson se hum^
Jiase ke zindagi ki zaroorat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai mohabbat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai...
Tujhse bichad ke dil ka ajab haal ho gaya
Tujhse bichad ke dil ka ajab haal ho gaya^
Itni kabhi udaas tabiyat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai mohabbat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai...
Barbaad hone aaye the Barbaad ho gaye
Barbaad hone aaye the Barbaad ho gaye^
Ab Aap se bhi koi shikaayat nahin rahin
Bas naam reh gaya hai mohabbat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai...
Is Bazm ki fazaa to bahut khushgawaar hai
Is Bazm ki fazaa to bahut khushgawaar hai^
Hum ko hi muskuraane ki aadat nahin rahi
Bas naam reh gaya hai mohabbat nahin rahi
Duniya main ab Quloos ki
Duniya main ab Quloos ki keemat nahin rahi...
Bas naam reh gaya hai...



Writer(s): Aziz Nazan, Namalum


Aziz Nazan - Main Nashe Mein Hoon
Album Main Nashe Mein Hoon
date de sortie
26-04-1992




Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.