Mohammed Rafi - Muddat Huyi Hai paroles de chanson

paroles de chanson Muddat Huyi Hai - Mohammed Rafi




Muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue
Josh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue
Kartā huuñ jam.a phir jigar-e-laḳht-laḳht ko
Arsa huā hai dāvat-e-mizhgāñ kiye hue
Phir vaz-e-ehtiyāt se rukne lagā hai dam
Barsoñ hue haiñ chaak garebāñ kiye hue
Phir garm-nāla-hā-e-sharar-bār hai nafas
Muddat huī hai sair-e-charāġhāñ kiye hue
Phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishq
Sāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue
Phir bhar rahā huuñ ḳhāma-e-mizhgāñ ba-ḳhūn-e-dil
Sāz-e-chaman tarāzi-e-dāmāñ kiye hue
Bāham-digar hue haiñ dil o diida phir raqīb
Nazzāra o ḳhayāl kā sāmāñ kiye hue
Dil phir tavāf-e-kū-e-malāmat ko jaa.e hai
Pindār kā sanam-kada vīrāñ kiye hue
Phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talab
Arz-e-matā-e-aql-o-dil-o-jāñ kiye hue
DauḌe hai phir har ek gul-o-lāla par ḳhayāl
Sad-gulistāñ nigāh kā sāmāñ kiye hue
Phir chāhtā huuñ nāma-e-dildār kholnā
Jaañ nazr-e-dil-farebi-e-unvāñ kiye hue
Māñge hai phir kisī ko lab-e-bām par havas
Zulf-e-siyāh ruḳh pe pareshāñ kiye hue
Chāhe hai phir kisī ko muqābil meñ aarzū
Surme se tez dashna-e-mizhgāñ kiye hue
Ik nau-bahār-e-nāz ko taake hai phir nigāh
Chehra faroġh-e-mai se gulistāñ kiye hue
Phir jī meñ hai ki dar pe kisī ke paḌe raheñ
Sar zer-bār-e-minnat-e-darbāñ kiye hue
Jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat din
BaiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue
′ġhālib' hameñ na chheḌ ki phir josh-e-ashk se
BaiThe haiñ ham tahayya-e-tūfāñ kiye hue



Writer(s): Khaiyyaam



Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.