Lata Mangeshkar - Rahen Na Rahen текст песни

Текст песни Rahen Na Rahen - Lata Mangeshkar



Rahein naa rahein hum
Meheka karenge banke kali
Banke saba baag-e-wafa mein
Rahein naa rahein hum
Mausam koi ho is chaman mein
Rang banke rahenge hum khiraama
Chaahat ki khushboo yuun he zulfon se udegi
Khizaa ho ya bahaarein
Yuun he jhoomte...
Yuun he jhoomte aur khilte rahenge banke kali
Banke saba baag-e-wafa mein
Rahein naa rahein hum
Meheka karenge banke kali
Banke saba baag-e-wafa mein
Khoye hum aise, kya hai milana, kya bichhadna
Nahi hai yaad humko
Kooche mein dil ke jab se aaye
Sirf dil ki zameen hai yaad humko
Isi sar-zameen...
Isi sar-zameen pe hum to rahenge banke kali
Banke saba baag-e-wafa mein
Rahein naa rahein hum
Jab hum naa honge
Jab hamaari khaak pe tum rukoge chalte-chalte
Ashkon se bheegi chandni mein
Ik sada si sunoge chalte-chalte
Wahin pe kahin...
Wahin pe kahin hum tumse milenge banke kali
Banke saba baag-e-wafa mein
Rahein naa rahein hum
Meheka karenge banke kali
Banke saba baag-e-wafa mein
Rahein naa rahein hum




Lata Mangeshkar - Mamta (Original Motion Picture Soundtrack)
Альбом Mamta (Original Motion Picture Soundtrack)
дата релиза
01-12-1966




Внимание! Не стесняйтесь оставлять отзывы.