Nusrat Fateh Ali Khan - Shaan E Karam paroles de chanson

paroles de chanson Shaan E Karam - Nusrat Fateh Ali Khan




Navazta hai jo sabko
Vo dil navaaz hai tu
Niyaaz-mand hain sab
Aur baniyaaz hai tu
Banata hai saare jag
Ke bigade kaam
Karim saare zamane ka karsaaz hai tu
Is shaane karam ka kya kehna-2
Dar pe jo swaali aate hain
Is shaane karam
Ik teri kareemi ka sadka-2
Vo mann ki muraadein pate hain-2
Is shaane karam
1parah) khaali na rahi rehmat se teri-2
Dukh dard ke maaron ki jholi-2
Kya tera karam hai dar pe tere-2
Bharti hai hazaron ki jholi---shaane karam ka kya kehna---
Mushkil ko tu asaan bana deta hai-2
Har unchai umeed khila deta hai-2
Taqdeer se ho jaye jo bhai se juda us bhai ko bhai se mila deta hai
Shaane karam ka kya kehna
3parah) din raat hai mangton ka faira -2
Kya khoob sakhi hai dard tera-2
Milti hai karam ki bheekh unhe-2
Daman jo yahan faiylate hain
Is shaane
Is dar ki sakhavat kya kahiye-2
Pakke rishte teri rehamat se jo ban jaate hain-2
Kachhe dhaage se bandhe log chale aate hain-2
Tu mila deta hai bichde hue insanon ko
Tere andaz-e-karam shaan ye dikhlate hain
Is dar ki sakhavat kya kahiye-2
Khali na gaya mangta koi-2
Mohtaaz yahan jo aate hain-2
Vo jholiyan bharke jaate hai
Is shaane karam ka lya kehna



Writer(s): rehan qadri


Attention! N'hésitez pas à laisser des commentaires.